Soch mein tu khoi hui, jhooth tu na bol sake
Sach kabhi chhupe na, tu kal raat roi bhi thi
Tu toh theek se soi bhi nahi, tere ashk motiyon se kam nahi
Tu apni qeemat mujhse pooch toh sahi, pooch toh sahi
Tera saath anmol
Tu tol ke bole, phir bhi har baat anmol
See how I unfold
Main dil ki baatein is kalam se zaahir karun
Main Bin Qasim, in sabko Raja Dahir karun
Fake log apne kamre se baahir karun
I got everything I need, main bas vibe karun
Ab main type karun text aur phir bhejun nahi
Tu mera aks hai, main kaise tujhe dekhun nahi?
Dil-fareb tu, tujhse chaahein kyun qareebi?
Asal hikmat humein dhoke khakar hi mili thi
Teri-meri yaari bemisaal hi rahi thi
Tere visaal ke khayal mein tha gum abhi
Wehem tha mera, ya guzar rahi thi tum abhi?
Tum mera nasha, meri high, meri ecstasy
Yeh log nahi hain dost mere
I’m invited everywhere, yeh sab host mere
You need to talk jab tu pee le do neat
Duniya se door noise cancel kare, so me
Meri duniya se sulah bhi ab nahi honi
Zindagi qeemati lagi when I burried my homie
Kis tarah kahun kitni baat yeh ajeeb
Sun liya sab jo tune kaha bhi nahi
Guzre hain dil se tere, rahe toh nahi
Dil se bade khwaab, hum unse bade toh nahi
Toh ro nahi
Ab darmiyaan ek ajab sa faasla hai
Tujhse ummid koi nahi, phir bhi tera aasra hai
Bahut sawaal hain, par pehle yeh bataao ki
Dast-e-saaqiya aaj is tarah kyun kaanp raha hai?
Main baitha hoon bedili ke bazaar mein
Koi rahgir jo humare gham yeh baant jaaye
Mujhe teri laaparwahi pe hairangi hai
Koi kaise ek umar tere liye jaagta hai?
Aashnai thi tere se ek zamaane mein
Ab dil-tijori band yeh waqt ke khazane mein
Woh mujhse poochte hain kab meri ravaangi
Main kehta baaqi ek bahaar mere aane mein
Phir mehek uthega dil tera, fikar na kar
Main tera apna, mera gairon mein zikar na kar
Bharosa khud pe jitna uska aadha mujhpe kar
Tujhse mukhlisi tere muntazir
Kuch yaar dil se utre, kuch yaar toh badshah hain
I know a bunch of people ab bhi mujhse khaar khayein
I know a lot of people jinke dil se dua aaye
Woh dua kare asar tabhi khada idhar
Dil se bade khwaab, and it only kept gettin’ bigger
Ab theek ghar ke saamne Billboard pe, boy
Thirty thousand feet upar teri soch se, boy
Yeh khuda ki navazishein meri zaat pe hui
Main mukar hi nahi sakta is baat se
Kitni raatein kaali ki hain is kala ki khatir
Bade din lage hain us raat se is raat mein
Khuda meherbaan, kisi ne yeh beej boye
Khuda gavaah, giraye gaye, na rok paaye
Sharamsaar khade, unhein maut na aaye
Mujhe sunein, kaise shayari ka shauq na aaye?
Maut dekhi apni aankhon se, par khauf na aaye
We all die