Shri Ram-Ram, jay Ram-Ram
Shri Ram-Ram, jay Ram-Ram
Shri Ram-Ram, jay Ram-Ram
Shri Ram-Ram, jay Ram-Ram
Kaun ho tum?
Janani, main Ramdoot Hanuman
Janani, main Ramdoot Hanuman
Charan kamal mein shat-shat vandan
Kar do, maa, kalyaan
Mila hai avsar aaj mahaan
Janani, main Ramdoot…
Maate, aage sir jhuka Ramdoot ka
Laangh saagar aaya vayu ka yeh poot, haan
Aisa din koi gaya nahi, maate
Prabhu Ram ka hriday pata aapka na poochta
Dekhi unki peeda maine, dekha hai ekaakipan
Girte unke aansu dekhe jab bhi karte aankhein band
Honthon pe woh hasi leke peeda ko chhupaate
Aankhein unki bolein, maana woh toh karte baatein kam
Virah ko bataate woh, na virah ko jataate
Karna chaahte qaabu, par aansu toh beh jaate
Toote mere swami, maata, satya bolun aapse
Virah ki woh peeda ko kisi ko na dikhaate
Peeda ki gehraai, maata, kaise main bataaun?
Rote dil ki dhvani ko main kaise, haan, sunaaun?
Jaanki ke bina prabhu kaise jee rahe
Vyatha unki, maata, bolo kaise main dikhaaun?
Prabhu ne uthaya tha dhanush bada bhaari
Ram ji ke ghar pahuchi Janak ki dulaari
Hua tha aadesh jab wan ko, haan, jaane ka
Jaanki ne kheechi saath jaane ki taiyaari
Sone ka woh mrig aur Ravan ka woh chhal
Paaya nahi Jaanki ko, roye Raghuvar
Leke aaya prabhu ki nishaani main toh, maate
De do mujhe sheesh, aage jhuka mera sir
Chamke koti soorya sam Raghuvar
Sheet chandra si vaani madhukar
Karke Ravan haran tumhara
Kiya mrityu aahvaan
Janani, main Ramdoot Hanuman
Mere swami kushalpoorvak hain na?
Aur bhaiya Lakshman?
Deta hoon bharosa main, swami mere aayenge
Thodi aur der, woh yeh aansu bhi mitayenge
Vaanaron ki sena naare zor se lagayegi
Lanka pe pataka hum vijay ka lehrayenge
Intzaar, maata, maana bada hai kathor
Vaatika mein goonjta hai rakshason ka shor
Ghor maana ghadi, par dharm bhi toh saath hai
Toot ke bhi lenge hum saahas ko bator
Dharm ko adharm bhala haani kaise de dega
Daanavon ka dal, maata, kya hi humein chhedega
Ram ki woh sena bhala kya hi maate rokenge
Sake na utha pair Bali ke jo bete ka
Veeron ko gava ke Ravan ko na chain
Mrityu ka raasta hi dekhein uske nain
Mauke use diye par, maata, woh na maana
Zyada karein prabhu bhi na paapon ko sehen
Baatein ja ke prabhu ko hain maine bhi bataani
Khoi unki hasi mujhe aaj hai lautaani
“Mila tha main Jaanki se,” prabhu ko bataaunga
Haath rakho daas ke, haan, koi toh nishaani
Baatein ja ke prabhu ko hain maine bhi bataani
Ram yadi jeehva hain toh Siya unki vaani
Bhoolegi na Ram aur siya ko yeh dhara
Aane waale yug bhi yeh sunenge kahaani (Pyaari Seete)
Janani, main Ramdoot Hanuman
Janani, main Ramdoot Hanuman
Charan kamal mein shat-shat vandan
Kar do, maa, kalyaan
Mila hai avsar aaj mahaan
Janani, main Ramdoot… (Jatayu!)
Karke Ravan haran tumhara
Karke Ravan haran tumhara
Kiya mrityu aahvaan
Janani, main Ramdoot Hanuman
Janani, main Ramdoot Hanuman
Janani, main Ramdoot Hanuman
Kaun ho tum?
Shri Ram ka doot, Hanuman