Kyun Chod Ke Humko Papa Lyrics

Lyrics & meaning

Kyun Chod Ke Humko Papa

Sayali KambleVicky D Parekh

ReleasedMay 2, 2020 GenreSinger-Songwriter

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Kyun chhod ke humko papa chale gaye?
Kyun chhod ke humko papa chale gaye?
Gham ke hain andhere aur dard ke saaye

Yaadon ka ek aashiyaan hai jahan
Waqt yeh tham sa gaya hai wahan

Tasveer yeh teri hum dekhte jaayein
Tasveer yeh teri hum dekhte jaayein
Mehsoos karte hain, par dekh na paayein

Yaadon ka ek aashiyaan hai jahan
Waqt ye tham sa gaya hai wahan

Thokar lagi jab bhi, tune sambhala tha
Ungli pakad ke yeh chalna sikhaya tha
Tum dost ban gaye, aur ban gaye saathi
Dukh mein bhi hum sabko hasna sikhaya tha

Tu pyaar ka saagar, man panchhi pyaasa hai
Tu pyaar ka saagar, man panchhi pyaasa hai
Yaadon se ab dil ko har pal bhigota hai

Yaadon ka ek aashiyaan hai jahan
Waqt yeh tham sa gaya hai wahan

Ho, jeevan ki yeh raahein aasaan bani tumse
Lekin lakeeron ne chheena humein tumse
Saanson ki maala ke kuch taar hain toote
Shayad abhi humse kuch khwaab hain roothe

Aye kaash, aisa ho tu laut ke aaye
Aye kaash, aisa ho tu laut ke aaye
Ye waqt thoda sa peeche chala jaaye

Yaadon ka ek aashiyaan hai jahan
Waqt yeh tham sa gaya hai wahan

Kyun chhod ke humko papa chale gaye?
Kyun chhod ke humko papa chale gaye?
Gham ke hain andhere aur dard ke saaye

Yaadon ka ek aashiyaan hai jahan
Waqt yeh tham sa gaya hai wahan