Rasiya lyrics Srushti Tawade

Lyrics & meaning

Rasiya

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Abhi ye ghar bhale hi khoob begaana hai tujhko
Jahaan bhar mein bhatak kar phir yahin aana hai tujhko

Ke din jab dhal chuka hoga toh soyega kahan tu?
Abhi se de rakha bistar ka sirhaana hai tujhko

Tere apne tujhe maaloom honge waqt chalte
Tu apna le abhi jisko bhi apnaana hai tujhko

Tujhe maaluum hai shamma me jal jaayega phir bhi
Samajh sakti hu kyu banna toh parvaana hai tujhko

Oh, piya, oh, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
Oh, piya, oh, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?

Teri har haan mein usne haan milaayi ek hafta
Tujhe lagta hai usne khoob pehchaana hai tujhko

Mein hargiz puuchhti hu, kyun galat rasta chuna hai
Bata kab aur kitni baar pachhtaana hai tujhko?

Tera gham tha tujhe samjha nahi jaata kahi pe
Kya saari zindagi is gham ko dohraana hai tujhko?

Tajurba ye bhi le-le chal isey bhi jee le poora
Sunaane ko mila ek aur afsaana hai tujhko

Oh, piya, oh, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
Oh, piya, oh, piya, afsaane sunaata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?