Har-Har Mahadev, main hoon bairagi, Bhole, teri wajah se hoon
Main premi hoon, main paapi hoon, main maal pee ke maje mein hoon
Main nashe mein hoon itna jyada ki bure karam bhi theek lagein
Dhan-daulat maine jo bhi kamaaya, woh sab mujhko bheekh lage
Kabhi nirdayi toh kabhi dayavaan, kabhi hoon dara toh kabhi bhayavah
Main madira-paan ka aadi hoon, khud se khud main barbaadi hoon
Mere kabhi vichaar shaitanon se, aur kabhi vichaar hain sadhu ke
Kabhi-kabhi mann shaant yeh rehta, kabhi-kabhi beqaabu hai
Shraddha aur sadbhav rahe toh ho jaata hoon paavan main
Par bhog-vilas aur madira-paan se ban jaata hoon Raavan main
Maas pake jab bakre ka, hum raakshas ban kar khaayein use
Par beqasoor kisi pashu ki hatya kabhi-kabhi na bhaaye mujhe
Ek shareer hai, do manushya lagta mere bheetar rehte hain
“Vinaashkaale vipreet buddhi” sab kundli dekh ke kehte hain
Ek toh hai seedha bada, aur doosra bahut hi paapi hai
Meri harkaton se bas pata chale kab kaun sa mujh par haavi hai
Main jaanoon na kuch bhi ab toh yeh kalesh jo mujh par aaya hai
Yeh upaj hai mere dimaag ki ya kisi bhoot-pret ka saaya hai?
Koi urja hai nakaaratmak si, mehsoos karoon main aas-paas mein
Samajh mein jeevan na aaye toh dekhta hoon main aasmaan mein
Vichaar ko apne shuddh karoon, badlaav bhi hote karmon se
Ab duniyadari se naata tod ke aaya Bhole sharnon mein
“Astitv manushya ka chhota kitna,” soch ke main yeh kaanp diya
Phir aankhein moondkar dhyaan kiya, brahmaand ko maine naap diya
Dimaag mein gyaan sansaar ka na, par buddhi ko ekaant kara
Main padhta gaya, main padhta gaya, maine buddhi mein brahmaand bhara
Main shunya bana, main shaant bana, DeeVoy se main Devansh bana
Main likhta gaya, main likhta gaya, ab koi lagaam vichaar pe na
Vichaar koi nakaaratmak sa ab padta na mann par bhaari
Ab baat karein sannaate mujhse meri hi bankar vaani
Main prithvi hoon, main ambar hoon, main panchtatva ka hoon gyaani
Main agni hoon, main vaayu hoon, main sab jaanoon, antaryaami
Ek khuli hui main kitaab sa hoon, man-ghadat kahaani banata nahi
Main pralay hoon, main abhishaap sa hoon, ‘gar baras padun toh thikana nahi
Main nadiyon ke sailaab sa hoon, ufaan karoon toh kinara nahi
Main padh toh leta dimaag bhi hoon, kabhi aankhon se aankhein milana nahi
Dimaag mein gyaan sansaar ka na, par buddhi ko ekaant kara
Main padhta gaya, main padhta gaya, maine buddhi mein brahmaand bhara
Main shunya bana, main shaant bana, DeeVoy se main Devansh bana
Main likhta gaya, main likhta gaya, ab koi lagaam vichaar pe na