You belong right in this moment
I’m falling fast
My heart you just stole it
Don’t bother asking
Everything’s right with me
As long as you stay with me
Na badh sake jo tum toh hum bhi thehre aashiqi mein
Main aakhirī woh patta reh gaya jo shaakh hi mein
Haan, teri aas hi mein dekhti thi raah bhi main
Kaarvaan yeh gham-farosh, dard hi tha waapsi mein
Kalam se dard kar bayaan tujhe bulaenge
Haath thaam tera haal phir batayenge
Fakat ki ya toh aisa ho tere ho jaayein hum
Jo tere na hue, khuda ke ghar ko jayenge
Jo dekh paate dil mein, hote kya ilzaam koi?
Thak chuki hain aankhein jaise sookha dariya koi
Poochta hai mujhse poora mashra yeh ab
Pooch le jo baaki reh gaya sawaal koi
Par jawaab bolo doon main tujhko tujhse pehle
Kar do aasmaan hawaale jism mera ab yeh
Hoon bejaan, meri jaan, ghar yeh bin tere mashaan
Sun yeh dard ki aawaaz, mujhko thaam bhi le
Chaal kya chalun jismein tujhko haar doongi?
Tere pyaar ki qasam, main sab yeh vaar doongi
Tujhe pasand jo na ho raabta mera kisi se
Main teri hoke poori zindagi guzaar loongi
Kya khwaab mein hi jaan hum tere ho sakte hain?
Aisa ho toh saari umar hum bhi so sakte hain
De bata tu mujhko ek hi wajah, main us wajah se
Zindagi yeh apni poori tanha hi guzaar loongi
Meri mohabbaton ki intiha kya yaad nahi hai?
Kiya kya kuch na tere khaatir, par woh baat nahi hai
Tu chaahe bewafa le maan, mera rab mera imaan
Tujhse pyaar kitna, bas yahi hisaab nahi hai
Kitni raatein nam thi aankhein, tune tab nahi tha dekha
Tujhse mili jab bhi aa ke, muskuraa ke tujhko dekha
Hasne ka zikr to khair chhodein ab
Ek arse se in aankhon ne tujhe nahi jo dekha
Aankhon ne sada tujhko di hai
Kahan hai tu? Yahan kyun nahi hai?
Dil ko hai jaanna ab toh yahi
Bas tum chale aao
Tu hai kahan? Khwabon ke is sheher mein
Mera dil tujhe dhoondhta, dhoondhta
Arsa hua, tujhko dekha nahi
Tu na jaane kahan chhup gaya, chhup gaya