Tujhe dekha hoon jab se, meri aankhein tham gayi
Main hoon tera Kanha, tu Radha se kam nahi
Oh, jaana, ab tum sun lo meri
Hum ishq bahut karte, bas bolte hi nahi
Tere sang yeh beetein yaadein, chikni-chupdi teri baatein
Sun ke tere ho gaye, humdam, humdam
Akela safar, ek hi nazar
Jo tujhpe aa gayi, oh, sanam
Akela safar, ek hi nazar
Jo tujhpe aa gayi, oh, sanam
Haath pakda hai toh saath mat chhodna
Dil naazuk hai, gulaab mat todna
Pyaar se rakhunga, jaan, tumhein humesha
Bas yahi ummeed hai ke haath na ab chhodna
Tu saath hai toh phir main jeet loon zamana
Mujhe sapne mein bhi lage hai tera aashiyana
Likh baitha afsaane tere liye, meri jaan
Bas ab beech raaste mein mujhe chhod ke na jaana
Tu meri zindagi aur tu hi meri har khushi
Aur har khushi mein haath tera saath hai
Phir kyun dukhi? Iss duniya mein par tujhe lagta hai dar
Is dar ke aage, jaana, teri chhupi hai kya khamoshi?
Iss khamoshi duniya ka sangam
Aur chhan-chhan karte hain jo tere yeh qadam
Main pyaar se rakhunga humesha main tumko
Tu rehna humesha meri, main rahoon tera hardam
Akela safar, ek hi nazar
Jo tujhpe aa gayi, oh, sanam
Akela safar, ek hi nazar
Jo tujhpe aa gayi, oh, sanam