Nazar… sach mein nazar lag jaati hai
Par tu dekh setting-wetting ka mat sochiyo
Main aisi hi hoon, main bakchodi karti hoon sirf
Committed-vomitted nahi hoti hoon
Bhai, mere ko toh aisa lagta hai ki
Achchhe log matlab zyada time tak acche nahi rehte
Tujhe main samjha nahi sakhti, par…
Waqt acche logon se milwata hai, aisa kuch nahi hota
Qismat hoti hai matlab
(Godlow on the track)
Woh kehti, “Hote mujhe mood swings” (Haan)
Kehti, “Meri zyada parwah na kar” (Hey, yeah)
“Chhod de tu mere haal pe mujhe” (Hey, yeah)
“Chhoti baaton pe yoon jhagda na kar” (Jhagda na…)
Woh kehti, “Call na karo mujhe” (Yeah, yeah)
“Baatein karne ka karta nahi ji” (Karta nahi…)
Karun jo do din usse baat main nahi (Yeah, yeah)
Kehti, “Tujhe meri parwah nahi”
What the fuck
Main samajh na sakoon ki tere dil mein kya hai
Aur tu bhi karti hai wahi jo tera dil kehta hai
Haan, mujhe hai pata tu thodi hai alag
Tabhi toh tera naam meri zubaan pe ab har din rehta hai
Hasta hoon main jab deti pyaar se hai gaali tu
Muskhan naam, phir bhi dil rakti bhaari kyun?
Udaasi hoti nahi hai suit tere chehre pe
Naam ki tarah ek dafa muska de khaali tu
Karti call jab main hota hoon udaas
Kehti, “Thoda apna dhyan rakha kar”
Jab main karna chahun mood tera theek
Toh kehti, “Apne kaam se tu kaam rakha kar”
Woh kehti, “Hote mujhe mood swings” (haan)
Kehti, “Meri zyada parwah na kar” (Hey, yeah)
“Chhod de tu mere haal pe mujhe” (Hey, yeah)
“Chhoti baaton pe yoon jhagda na kar” (Jhagda na…)
Woh kehti, “Call na karo mujhe” (Yeah, yeah)
“Baatein karne ka karta nahi ji” (Karta nahi…)
Karun jo do din usse baat main nahi (Yeah, yeah)
Kehti, “Tujhe meri parwah nahi”
Do ghante call ke baad ek hafte tak baatein nahi
Phir teri yaadein na likhun aisi koi raatein nahi
Kyun hai azaadi nahi ki poochun ab main hua kya?
Aur meri baari mein kehti, “Munh kyun sadaate, bhai?”
Haan, tu bataaye na, par poochna toh banta hai na
Dil ke jo paas usse roothna toh banta hai na
Main karta wait tere message ka
Jab aata hai toh khaata main bhaav
Khel ego ka saara ganda hai na
Mujhe samjhaati hai toh meri bhi toh suna kar
Kaise main maan loon koi dosh nahi hai mera?
Kya mujhe jaanne ka haq nahi zara bhi?
Ya tu raha ab dost nahi mera?
Hain vaise mere zyada dost nahi (mere zyada dost nahi)
Tujhe khone se par lagta hai darr (lagta hai darr)
Main bhi rehta zyada theek nahi (rahta zyada theek nahi)
Kabhi-kabhi par tu samjha toh kar (samjha toh kar)
Woh kehti, “Hote mujhe mood swings” (hote mujhe mood swings)
Kehti, “Meri zyada parwah na kar” (parwah na kar)
“Chhod de tu mere haal pe mujhe” (haal pe mujhe)
“Chhoti baaton pe yoon jhagda na kar” (jhagda na…)
Woh kehti, “Call na karo mujhe” (Call na karo mujhe)
“Baatein karne ka karta nahi ji” (Karta nahi ji)
Karun jo do din usse baat main nahi (usse baat main nahi)
Kehti, “Tujhe meri parwah nahi”
Arey, main keh raha tha ki…
Aur bata phir (tu paagal hai)