khamoshi lyrics sahil syndicate

Lyrics & meaning

Khamoshi

GenreIndie Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ye khamoshi kehti tumhari hai
Yakeen itna, itna hi kaafi hai
Ho tum us taraf khamosh
Par yeh aawaaz aati hai
Rahe saanson ki sargoshi, yeh saath kaafi hai

Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai
Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai

Javaan khamoshiyon ka zikr bayaan lafzon mein kaise ho?
Nahi ho tum meri manzil, yakeen mujhko yeh kaise ho?
Yoon hi honthon pe rakh do yeh honth, yeh jhootha khwaab kaafi hai

Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai
Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai

Dabi-dabi, khamosh kahaani hai
Bas saanson se sunaani hai
Adhoori ho ya poori ho, kahaani phir kahaani hai
Chalo uss mod tak tum saath-saath
Safar itna hi kaafi hai

Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai
Ab tum se yeh baat ho-na-ho
Har wakt ehsaas kaafi hai