Woh chaahte hain meri aawaz ko band karna
Par woh kar nahi payenge
Kisi ka khauf nahi, kisi ka dar nahi, yeah
(Sez on the beat, boy)
(Listen) Game, shit-shit, yeh game on hai (On hai)
Tu mera naashta, kekda aur prawn hai (Yum, yum)
Main hoon reality, tera sab kuch Chrome hai
Future se aaya tera bhai Megatron hai
Itni tez na dikhai doon
Free voice, main sabko sunai doon
Nakli Rap se grast sab logon ko dawaai doon
Inke Rap hain chut-
Main haath khol ke jamhaai loon (Aye, yo)
Meri team hai pro, mujhe coach nahi chahiye
Meri army solid, fake josh nahi chahiye
Do muh waala mujhe ek dost nahi chahiye
Success ke nashe mein mujhe hosh nahi chahiye
Roshni chahiye iss yuva aawam ko
Pehchaan chahiye yahan har ek gumnaam ko
Bhagwan chahiye yahan har ek imaan ko
Imaan hone nahi deta ek Allah aur Ram ko
Awaaz ye azaad hai (Awaaz ye azaad hai)
Yeh maangti jawab hai (Yeh maangti jawab hai)
Isey band tum karoge toh (Isey band tum karoge toh)
Yeh awaaz aatankwaad hai (Yeh awaaz aatankwaad hai)
Aawaaz ye azaad hai (Aawaaz ye azaad hai)
Yeh maangti jawab hai (Yeh maangti jawab hai)
Isey band tum karoge toh (Isey band tum karoge toh)
Yeh awaaz aatankwaad hai (Yeh awaaz aatankwaad hai)
Main fan Bhagat Singh ka, gulaami nahi sehta
Khud pe hai bharosa, aasman mein hoon rehta
Haath mein kalam, kaagaz par paani sa hoon behta
Mehnat se bana pul jo aasaani se nahi dehta
Phir se laaya Hip-Hop waali baatcheet
Hop yaani movement, Hip yaani gyaan bhi
Dharam itne saare, kisko maanun? Main hoon nastik
Bar mere slaughter house, content hai yeh graphic
Too much real logon ko hazam nahi
Sabko convince karoon, unki maa ka main khasam nahi
Aisa kaunsa Nagasaki jo humne kiya bhasam nahi?
Yeh hai pure art, “Off-White,” “Balenciaga” wala tashan nahi
Mujhmein hai sabar, tabhi shaant hoon main paani sa
Shamta itni, roop le loon main Tsunami ka
Main kaun hoon, mera wajood kya hai yeh likha jayega
Main hissa jab sunaoge Hip-Hop ki kahani ka
Aawaaz ye azaad hai (Aawaaz ye azaad hai)
Yeh maangti jawab hai (Yeh maangti jawab hai)
Isey band tum karoge toh (Isey band tum karoge toh)
Yeh awaaz aatankwaad hai (Yeh awaaz aatankwaad hai)
Awaaz ye azaad hai (Aawaaz ye azaad hai)
Yeh maangti jawab hai (Yeh maangti jawab hai)
Isey band tum karoge toh (Isey band tum karoge toh)
Yeh awaaz aatankwaad hai (Yeh awaaz aatankwaad hai)
Yeah, azaadi mujhe pasand hai
Panchi hoon main, yeh aasman mera hai
Main udoonga ooncha, ooncha aur ooncha
Kyunki awaaz ye azaad hai, azaad hai, yeah