Aankhein band, sochein jaari
Kaise bayaan karoon lafzon mein zindgani?
Kaise shaaya karoon aankhon se behta paani?
Kaise bataun hai dikhave ki yeh khush’haali?
Kaanpta jism, jab bhi nikloon khud ki talaash mein
Paas na koi, dekhta tha khud ko apne baap mein
Woh bhi na raha, main kis ko dekhoon apne aap mein?
Ab maa hi mera saaya, warna tha ek zinda laash main
Kya sab la-haasil hai?
Khwahishein thi bahut, zikar karne se ab qaasir hain
Koi yahan kaamil nahi, seekhte khataon se
Mehenge padhe shauq, par hum thehre un par qaadir hain
Zamana naazir hai, gawah mere fun ka
Pyaar milta itna, kya main laayak hoon iss sab ka?
Shukarguzaar hoon ke mile mujhe log aise
Wahi log jinse raabta mera mazboot tha
Jaane iss din ke liye humne din dekhe kaise-kaise
Koi apne naam pe keechad uchaale, aise kaise?
Kuch rishte khoon ke nahi, par hain badh ke khoon se
Ek-dooje ko deke sahara hum khud jaise-taise
Tay kiya safar jidhar ko koi rasta jaata nahi tha
Jinko lagta tha kal tak mujhko ko kuch aata nahi tha
Unhi ke munh se apni taarefein ab sunta hoon main
Batane ke liye shukriya ke kitna umda hoon main
Darasal baat yeh ke humne haalat dekhe
Pal mein palat’te logon ke saron se taj dekhe
Ek baar jo utre dil se, lakh koshish karle phir tu
Ab nahi rukne waala, chaahe roke koi aawaaz deke
Sachchai yeh ke koi nahi mehnat karna chaahta
Sabko chahiye waqt se pehle, had se zyada
Dil mein mail, kaise munh pe banke aate meethe
Peeth peeche bhadwatein, ek-dooje ki khud taangein khenchein
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara, hilta kaise apni jagah se?
Woh kaise mujhe daga dein?
Shayari se zarf dein, bhai, aur likho saza yeh
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara, hilta kaise apni jagah se?
Woh kaise mujhe daga dein?
Shayari se zarf dein, bhai, aur likho saza yeh
Karta shayari, par kis tarah ka shayar hoon?
Main aakhir kis mizaaj ka? Khud ki samajh se baahir hoon
Main kuch toh zaahir hoon, shayad isi mein maahir hoon
Main baatein karta hoon badi ya sirf ek munh ka fire hoon?
Rozana likhne baithoon lafz safon pe naachte
Kya yeh bhi meri tarah nashe mein ghabri hain khaanste?
Dhoondhun agar toh mujhe milti koi wajah na
Kyun raakh hue pannein? Geet itne aag the
Kis ko gawah banaun? Koi bacha na
Main seedha aadmi tha, aadmi ka saga na
Sher zakhmi bhi sher hai, do dawa na
Music bana yeh junoon aur dil kahin laga na
Sir-phira toh sir qalam, launde low rehte
Fly mode, jigar, on the go rehte
Tu bhai hai toh saath hai, tu saath reh, tu bhai hai
Launde 420, phir bhi 100 rehte
Uh, yeh qalam kagaz ko raas nahi hai
Baadal sirhaana, lekin mere paas jahaz nahi hai
Khuli kitaab, duniya se rakhe koi raaz nahi hain
Baaz kyun aayein jab ungli uthana laazmi hai?
Dil ko qurbaan kiye, apno ko pehchaan diye
Saath poori army hai, rap ke liye jaan di hai
Jokhay, gawah rehna, Talha, tu gawah hai na?
Yeh sab beemar the, humse kehte the, “Dawa dena”
Sookha yeh gala mera, pyaase khade stage pe
Duniya wale dekhte, par hum toh khaali pet the
Mehlon mein baithe saale, darte woh iss khet se
Paisa kya cheez, ab main bhaari inki jeb pe
Paid hate campaigns, yeh laat tere pet pe
Sher ko na chhed be, sir chadhte jaise beer yeh
Rhymes double, main karta inka mind boggle
Wine bagal mein, nahi chahiye opener, meri grind double
Shine pakadte hain shayar, meri line pakad
Director’s cut, baby, AD hai toh joint pakad
Hustle ko dena chaahta hoon ab main resign, magar
Rap yahan na pahuchta, na karta dealein sign agar
Saath dete, jo apne hain woh saath dete
Daag dekhe, dil hote baagh-baagh dekhe
Jo khwaab dekhe woh toh jee raha main aaj, bete
Baap ko hai naaz mujhpe, yahi mera taj, bete
Main tera zehen, main zaheen bhi
Sir pe mere kaam zyada, keh lo mujhe team bhi
You know, it was all a dream
Ab dekhoon apna bank balance, hota hai yaqeen nahi
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara, hilta kaise apni jagah se?
Woh kaise mujhe daga dein?
Shayari se zarf dein, bhai, aur likho saza yeh
Woh mutaasir meri wafa se
Khuloos bhara, hilta kaise apni jagah se?
Woh kaise mujhe daga dein?
Shayari se zarf dein, bhai, aur likho saza yeh