Ab woh care nahi karti
Dil mein jo baatein hain woh share nahi karti
Roti bhi nahi, lekin hasti bhi nahi hai
Lagta hai jaise uski bas ki hi nahi hai
Give up kar chuki hai woh, yeah
Kaafi hurt ho chuki hai woh, yeah
Jo kabhi sona, chaandi, diamond hoti thi
Uske liye dirt ho chuki hai woh, yeah
Aur yeh pata hai usey
Lekin kyun aisa lage na koyi khata hai usey?
Woh ab bhi raani hi hai, koyi bataye usey
Yeh maathe pe shikan hai jo, koyi hataye usey
De duayein usey, kyun koyi bhala rulaye usey?
Woh hasne ko taiyaar baithi hai, koyi hasaye usey
Koyi fir se palkon pe bithaye usey, samjhaye usey
Yeh ki uski aankhon ki chamak hai mehengi
Duniya ke kisi bhi heere ki qeemat se
Soorat ki dhani hai, lekin maalkin lage
Kisi sultanat ki seerat se
Uske aasuon ke laayak is zameen pe koyi nahi
Kis chutiye ke peeche woh itni raatein soyi nahi?
Par koyi nahi
Upar waale ke khel alag hain, ajab hain, woh sambhaal lega
Woh fir se chehekne lagegi, aisa koyi kar kamaal dega
Uska achcha sochne waalon ki tarakki hone lagegi, bata raha hoon main
Uska bura sochne waalon ka kar woh bura haal dega
Jahan se guzregi fir se gulaab aur chameli ke phool khilenge
Sooraj bhi chamkega aur baarish bhi hogi, rainbows banenge
Mehekne lagega, sach mein sab mehekne lagega
Tera-mera kya hai, hum phir kabhi aur milenge
Khair…
Gotta let you go