love note lyrics shivoryx

Lyrics & meaning

Love Note

GenreIndie Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Lafz saare jo the adhoore
Haan, zubaan pe meri
Keh na paaya tumse dil ki baatein
Dil mein jo reh chuki

Mujhe yaad hain waade woh saare
Jo humne kiye the kabhi
Mujhko rehna hai teri hi baahon mein
Bin tere jeena nahi

Toh fir aa na, seene se laga na
Tujhko jaane dunga nahi
Yoon baitha hoon main in shaamon mein
Tujh bin shaamein dhalti nahi

Dil mein dariya hai teri hi yaadon ka
Usmein dooba hoon main har ghadi
Main musafir, tu kinara
Mujhko mil toh kahin toh kabhi, ho

Aasmaan mein baadal hain toh
Gir ja baarish ban ke kabhi
Main wahin tha, main wahin hoon
Hoon aaj bhi main wahin