apna bana le piya lyrics

Lyrics & meaning

Apna Bana Le (Female Version)

Swati Mishra

ReleasedJune 15, 2023 GenreIndie Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Tu jaane na, piya, yeh janmo ke naate
Khuda ne pehle se jode hain sabke dhaage
Milna hi tha mujhe tujhse yoon aa ke
Hai jeena-marna tujhe apna bana ke
Samajh ke kyun na samajh tu saka?

Yeh rishta gehra hai, tabhi toh apna laage
Tu jaane na, piya, yeh janmo ke naate

Apna bana le, piya, apna bana le, piya
Apna bana le, mujhe apna bana le, piya
Apna bana le, piya, apna bana le, piya
Dil ke nagar mein sheher tu basa le, piya

Tu jo na tha jab meri zindagi mein
Na jaane kaisi thi ek kami
Tu jo mila hai toh paa ke yoon tujhko
Poori hui zindagi

Rahoon na ab hosh mein tujhe paa ke
Sach hai ya sapna, yeh mujhko bata de
Ulajh ke toh main bhi hoon reh gayi

Ab har pal is zubaan pe rehti teri baatein
Tu jaane na, piya, yeh janmo ke naate

Apna bana le, piya, apna bana le, piya
Apna bana le, mujhe apna bana le, piya
Apna bana le, piya, apna bana le, piya
Dil ke nagar mein sheher tu basa le, piya