Aur Ahista Kijiye Baatein Lyrics

Lyrics & meaning

Ahista

Pankaj Udhas

FromGreatest Hits ReleasedApril 29, 2014

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Aur aahista kijiye baatein
Dhadkanein koi sun raha hoga
Aur aahista kijiye baatein
Dhadkanein koi sun raha hoga

Lafz girne na paayein hothon se
Waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakte hain yeh dar-o-deewar
Raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein

Aise bolo ki dil ka afsaana
Dil sune aur nigaah dohraaye
Aise bolo ki dil ka afsaana
Dil sune aur nigaah dohraaye

Apne chaaron taraf ki yeh duniya
Saans ka shor bhi
Na sun paaye, na sun paaye

Aur aahista kijiye baatein
Dhadkanein koi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
Waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakte hain yeh dar-o-deewar
Raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein

Aaiye, band kar lein darwaaze
Raat sapne chura na le jaaye
Aaiye, band kar lein darwaaze
Raat sapne chura na le jaaye

Koi jhonka hawa ka aawaara
Dil ki baaton ko
Uda na le jaaye, na le jaaye

Aur aahista kijiye baatein
Dhadkanein koi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
Waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakte hain yeh dar-o-deewar
Raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein

Aaj itne kareeb aa jaao
Dooriyon ka kahin nishaan na rahe
Aaj itne kareeb aa jaao
Dooriyon ka kahin nishaan na rahe

Aise ek-dooje mein gum ho jaayein
Faasla koi darmiyaan
Na reh jaaye, na reh jaaye

Aur aahista kijiye baatein
Dhadkanein koi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
Waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakte hain yeh dar-o-deewar
Raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein