Friday, October 4, 2024

Balli Aur Mein

Balli Aur Mein Lyrics | Talha Anjum

Balli Aur Mein (बल्ली और मैं) is an Urdu Rap song sung by Talha Anjum. The song has been produced by Jokhay. Balli Aur Mein lyrics in Hindi and in the romanized form are provided below.

Listen to the complete track on Spotify

 

Romanized Script
Native Script

Ek dafa ka zikar hai, thodi puarni baat hai, sahi se yaad nahi
Mera ek dost tha Balli, yaaron ka yaar, bhaiyon ka bhai
Woh dil ka tha bahut hi saaf, haan, kuch adatein kharab thi
Yeh baat hai 2012 ki, charas-sharaab toh sheher mein aam thi

Balli gareebi mein bada hua, usne dekhi nahi shaan-o-shaukat
Woh chaahta tha paisa bahut saara, lene ko ready the woh koi bhi shortcut
I’ll cut short to jab usne yeh socha ke ek pistol chahiye, do ladke jayeinge
Do peechey aayeinge, fielding lagayeinge, kaam dikhayeinge aur phir nikal jayeinge

Aur aisa hi hua, sab laute ghar ko jebon mein note hi note
Balli bhi khush hai, woh maare dum bhi, Balli ko yaad nahi maut
Par maut ki baat nahi karte kyonki is kahani mein woh aage aani hai
Aaja maa, tujhe main shopping karvaaun, tu fikar nahi kar, paisa paani hai
Aaja, hum ghoomne chalein, tu mujhe ghumaati thi, ab meri baari hai
Balli ki maa hi thi sab kuch, Balli ka baap is duniya mein raha nahi
Balli ko jaanta tha bade arse se, Balli ka baap is duniya mein raha nahi
Balli ka khauf tha ladko mein, par usey pata tha, main ussey darta nahi

Aur jab bhi milta tha ussey main, kehta tha jaani, ki yeh laanjhein theek nahi
Lekin main jaanta tha, uske paas koi degree ya certificate nahi
Dhoondhi, par mili nahi naukri, ab bhookha toh roti hi maangta hai
Teri nazar mein woh bas ek dakait, par bhookh ko bhookha hi jaanta hai
Aur upar se asle aur nashe ka mix toh humesha hota hai lethal
Balli was losing control, paise ke chakkar mein thok diya dealer
Aur tum sochogey mujhe kisne kaha yeh sab toh phir tum aage suno

Waise tu jaanta hai na, tere naam ki goli pehle Balli hi khayega, chala ja
Tension? Sabse badi tension toh tum ho mere liye
Yeh jo bhi ho raha hai na tere saath, yeh tere kiye ki saza hai
Jaani, ye haraam ka paisa kab tak chalega? Paani ki tarah behta hai yeh
Shaam mein miltay hain jaani, aur haan, abba se mil lena apne

Ab Balli tha roo-posh, usey din-raat ki bhi hosh nahi
Woh kisi pe nahi kar sakta bharosa, usey pata hai koi uska dost nahi
Woh sab toh matlab ke log the, Balli akela, koi ussey close nahi
He thought he would die like a hero kyonki villains ke marne pe hota sog nahi

Ab pistol hai haath mein, lekin batao na himmat woh kaise juttaye
Maa ka chehra aata saamne jab bhi uski ungli trigger pe jaaye
Maathe se paseena pochey, sir fate dard se, baal apne noche
Sunaai dete usey sirens, he’s paranoid and he’s violent
Wo nikla phir tang akay ghar se, khatam saare paise, khatam hain charsein
Aur aise mawaqo pe hota shaitaan sawaar humare hawaas pe
Maine aawaaz di Balli ko, dekh ke woh bola, “Milenge shaam mein”
Ab mujh jaisa mehez ek insaan bhala kya bolega khuda ke kaam mein?

Aur Saddar ke aitraaf maare gaye hain do namaloom afraad
Baraamad hui unke pass se pistol, kuch phones aur manshiyaat
Ab Balli toh bacha nahi, lekin mera ye gaana hai usi ke naam mein
Waada hai mera ke jis din mein marunga, milenge usi din shaam mein
Same spot, tere iPod mein wo Hopsin aur K.Dot, good kid, mad city, badi sach baat

Meri sheher ki hawa mein nahi insaaf, insaan gumrah yahan, insaan
Sanjeeda hain mere saare unwaan, qissay mash’hoor, qabar gumnaam
Sunsaan galiyan hain saari sunsaan, sun le khuda main duniya se anjaan
Sun down, bad shit pops, guns out, madadgaar fifteen times runs out
Balli, I’m smoking my lungs out

Balli aur mein, Balli aur mein
Galiyon mein, galiyon se
Balli aur mein, Balli aur mein
Galiyon mein, galiyon se

एक दफ़ा का ज़िकर है, थोड़ी पुरानी बात है, सही से याद नहीं
मेरा एक दोस्त था Balli, यारों का यार, भाइयों का भाई
वो दिल का था बहुत ही साफ़, हाँ, कुछ आदतें ख़राब थीं
ये बात है २०१२ की, चरस-शराब तो शहर में आम थी

Balli ग़रीबी में बड़ा हुआ, उसने देखी नहीं शान-ओ-शौकत
वो चाहता था पैसा बहुत सारा, लेने को ready था वो कोई भी shortcut
I’ll cut short to जब उसने ये सोचा कि एक pistol चाहिए, दो लड़के जाएँगे
दो पीछे आएँगे, fielding लगाएँगे, काम दिखाएँगे और फिर निकल जाएँगे

और ऐसा ही हुआ, सब लौटे घर को, जेबों में note ही note
Balli भी ख़ुश है, वो मारे दम भी, Balli को याद नहीं मौत
पर मौत की बात नहीं करते क्योंकि इस कहानी में वो आगे आनी है
आजा माँ, तुझे मैं shopping करवाऊँ, तू फ़िकर नहीं कर, पैसा पानी है
आजा, हम घूमने चलें, तू मुझे घुमाती थी, अब मेरी बारी है
Balli की माँ ही थी सब कुछ, Balli का बाप इस दुनिया में रहा नहीं
Balli को जानता था बड़े अरसे से, Balli और मेरे में पर्दा नहीं
Balli का ख़ौफ़ था लड़कों में, पर उसे पता था, मैं उससे डरता नहीं

और जब भी मिलता था उससे, मैं कहता था जानी कि ये लांजें ठीक नहीं
लेकिन मैं जानता था, उसके पास कोई degree या certificate नहीं
ढूँढी, पर मिली नहीं नौकरी, अब भूखा तो रोटी ही माँगता है
तेरी नज़र में वो बस एक डकैत, पर भूख को भूखा ही जानता है
और ऊपर से असले और नशे का mix तो हमेशा होता है lethal
Balli was losing control, पैसे के चक्कर में ठोक दिया dealer
Balli को ढूँढ रही police, लगी हुई दफ़ा ३०२
और तुम सोचोगे मुझे किसने कहा ये सब तो फिर तुम आगे सुनो

वैसे तू जानता है ना, तेरे नाम की गोली पहले Balli ही खाएगा, चला जा
Tension, सबसे बड़ी tension तो तुम हो मेरे लिए
ये जो भी हो रहा है ना तेरे साथ, ये तेरे किए की सज़ा है
जानी, ये हराम का पैसा कब तक चलेगा? पानी की तरह बहता है ये
शाम में मिलते हैं जानी, और हाँ, अब्बा से मिल लेना अपने

अब Balli था रू-पोश, उसे दिन-रात की भी होश नहीं
वो किसी पे नहीं कर सकता भरोसा, उसे पता है कोई उसका दोस्त नहीं
वो सब तो मतलब के लोग थे, Balli अकेला, कोई उससे close नहीं
He thought he would die like a hero
क्योंकि villains के मरने पे होता सोग नहीं

अब pistol है हाथ में, लेकिन बताओ ना हिम्मत वो कैसे जुटाए
माँ का चेहरा आता सामने जब भी उसकी उँगली trigger पे जाए
माथे से पसीना पोंछे, सर फटे दर्द से, बाल अपने नोचे
सुनाई देते उसे sirens, he’s paranoid and he’s violent
वो निकला फिर तंग आ के घर से, ख़तम सारे पैसे, ख़तम हैं चरसें

और ऐसे मवाक़ों पे होता शैतान सवार हमारे हवास पे
मैंने आवाज़ दी Balli को, देख के वो बोला, “मिलेंगे शाम में”
अब मुझ जैसा महज़ इंसान भला क्या बोलेगा ख़ुदा के काम में?
और सदर के एतिराफ़ मारे गए हैं दो नामालूम अफ़राद
बरामद हुई उनके पास से pistol, कुछ phones और मनशियात
अब Balli तो बचा नहीं, लेकिन मेरा ये गाना है उसी के नाम में
वादा है मेरा कि जिस दिन मैं मरूँगा मिलेंगे उसी दिन शाम में
Same spot, तेरे iPod में वो Hopsin और K.Dot
Good kid, mad city, बड़ी सच बात

मेरे शहर की हवा में नहीं इंसाफ़, इंसान गुमराह यहाँ, इंसान
संजीदा हैं मेरे सारे उनवान, क़िस्से मशहूर, कबर गुमनाम
सुनसान, गलियाँ हैं सारी सुनसान, सुन ले ख़ुदा, मैं दुनिया से अंजान
Sun down, bad shit pops, guns out
मददगार १५ times runs out
Balli, I’m smoking my lungs out

Balli और मैं, Balli और मैं, गलियों में, गलियों से
Balli और मैं, Balli और मैं, गलियों में, गलियों से

Song Credits

Lyricist(s):
Talha Anjum
Composer(s):
Talha Anjum
Music:
Jokhay
Music Label:
Talha Anjum
Featuring:
Talha Anjum

Official Video

You might also like

Get in Touch

12,038FansLike
13,982FollowersFollow
10,285FollowersFollow

Other Artists to Explore

Neoni

Alayna

Kavita Seth

Akhil

Taylor Swift