Hola! ¿Cómo estás?
Iska matlab, ‘How are you?’ Shayad, haan
Theek hoon main, tu bata kaisi hai, kaisa hai haal tera?
Baatein toh hoti nahi ab humari
Par iska na kabhi malal rakha
Teri yaadon ko dil ne sambhal rakha
Saari photo ko maine nikal rakha
Aur chhupa di woh yaadein kitabon ke beech mein
Taaki naa poochun sawaal khud se
Kya thi wajah?
Mujhe bhi pata na, aakhir sawaal kaisa
Jawab toh paas tha tere
Par tu hua gayab Amaavas ke chaand jaisa
Teri aankhon mein maine tha chaand dekha
Aur main na tujhko taare-chaand deta
Par dil ke woh saare armaan deta
Mere prem ka kya hi pramaan deta
Ab baitha main khud ke saath mein
Likha yeh gaana do jaam ke baad mein
Ban baithe shayar hum pyaar mein tere
Zamaane ke shor se door aazaad main
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein nikle yeh dard zabaan se
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh
Ab baitha main khud ke saath mein
Likha yeh gaana do jaam ke baad mein
Ban baithe shayar hum pyaar mein tere
Zamaane ke shor se door aazaad main
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein nikle yeh dard zabaan se
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh
At least not for us
I mean, it shouldn’t be this hard, you know
We’re always fighting and saying things that we don’t mean
And then we can’t take them back, and I hate this
Uh, main bhi hoon theek, na koi hai saath toh phir yeh sawaal kaisa?
Haan, chhod ke gayi thi haath main tera, par tune bhi thaama na saath waisa
Tere vaadon ko maine tha yaad rakha, mere dil ke kone mein tha pyaar tera
Zamaane ki baaton se hui khafa, par tu jaane mujhe tu sambhal leta
Aayi main waapas thi
Par mere dil mein tha dar tu nahi paas hoga
Toh phir jeene ka kya vo ehsaas hoga
Hum bichhde toh dard ka hi saath hoga
Meri aankhon mein tune tha chaand dekha
Par yeh chaand samete hai daagh gehra
Tu naaraz hai mujhse, hum maan baithe
Tabhi likha na tujhko jawaab phir se
Ab baithi main khud ke saath mein
Sunun bas gaane samet ke khwaab yeh
Padhun kitabein aur shayari yaad mein
Khud ke hi shor mein qaid aawaaz yeh
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein niklein kyun aansu in aankh se?
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh
Ab baithi main khud ke saath mein
Sunun bas gaane samet ke khwaab yeh
Padhun kitabein aur shayari yaad mein
Khud ke hi shor mein qaid aawaaz yeh
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein niklein kyun aansu in aankh se?
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh
You know I love you, but love just…
Ab baitha main khud ke saath mein
Likha yeh gaana do jaam ke baad mein
Ban baithe shayar hum pyaar mein tere
Zamane ke shor se door aazaad main
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein nikle yeh dard zabaan se
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh
Ab baitha main khud ke saath mein
Likha yeh gaana do jaam ke baad mein
Ban baithe shayar hum pyaar mein tere
Zamane ke shor se door aazaad main
Bas tera khayal hai saath mein
Raaton mein nikle yeh dard zabaan se
Khushiyon ke baadal hon sir pe tere
Inhi dua se bhar diya poora jahaan yeh