Ishq woh bala hai, ishq woh bala hai
Jisko chhua isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru, dil se hota hai shuru
Par kambakht sar pe chadha hai
Kabhi khud se, kabhi khuda se
Kabhi zamane se lada hai
Itna hua badnaam, phir bhi
Har zubaan pe ada hai
Ishq ki saazishein, ishq ki baaziyaan
Haara main khel ke do dilon ka jua
Kyun tune meri fursat ki?
Kyun dil mein itni harkat ki?
Ishq mein itni barkat ki
Ye tune kya kiya?
Phirun ab maara-maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main?
Ye tune kya kiya?
Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara, kiya tune kya asar?
Main dil ka raaz kehta hoon
Ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?
Meri baahon ko teri saanson ki jo aadatein lagi hain aisi
Jee leta hoon ab main thoda aur
Mere dil ki ret pe aankhon ki jo pade parchhai teri
Pee leta hoon tab main thoda aur
Jaane kaun hai tu meri, main na jaanun ye, magar
Jahan jaaun main, karun main vahan tera hi zikar
Mujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiya?
Main dil ka raaz kehta hoon
Ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?
Dil karta hai teri baatein sunoon
Saude main adhoore chunoon
Muft ka hua ye faayda
Kyun khud ko main barbaad karun?
Fana hoke tujhse milun
Ishq ka ajab hai qaayeda
Teri raahon se jo guzri hai meri dagar
Main bhi aage badh gaya hoon hoke thoda befikar
Kaho to kisse marzi loon
Kaho to kisko arzi doon
Hasta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiya?
(Main dil ka raaz kehta hoon)
(Ki jab-jab saansein leta hoon…)
Ishq ki saazishein, ishq ki baaziyaan
Haara main khel ke do dilon ka jua