Gulmohar si hasi khile teri, tujhpe hi thehri aankhein meri
Dekha hai tujhko jis din se maine, mehki hui hai duniya meri
Tu subah ki roshni hai, tu hai laali shaam ki
Rooh mein hai jal uthi ek lau tere naam ki
Kuch ishq jaisa mujhmein-tujhmein chal raha hai rozana
Yeh kya hai? Naam iska batana
Kyun teri khushboo leke aayein yeh havayein rozana?
Yeh qissa kya hai? Mujhko batana
Kaise bataun, dil ki gali mein utre toh kaisi tu lage
Ek pankhudi se jo boond tapke, uss boond jaisi tu lage
Mujhko zara sa pyaar se tu pukare jahan
Dil yeh uda-uda gaya mujhse pehle wahan
Teri aankhein padh raha hoon sab kitabein chhod ke
Saath rehna tu yunhi, saathi, har ek mod pe