Kisi ka dil dukhaoge toh dard tum bhi paaoge

Kisi ko tum rulaoge toh aansu tum bhi paaoge
Na sifarish, na guzarish, na lihaz karta hai
Ishq mein khuda barabar ka hisaab karta hai

Haan, apna bana ke begana kar dena
Beech safar mein anjana kar dena
Haan, apna bana ke begana kar dena
Beech safar mein anjana kar dena
Ji bhi na paayein kisi ke bina
Kyun itna zyada deewana kar dena?
Kahan ki yeh sharafat? Jaan, kaisi yeh aadat hai?

Kisi ko kar dena barbad, kisne di yeh ijazat hai?
Chaahe jitne kar lo parde, yeh benaqaab karta hai