You belong right in this moment
I’m falling fast
My heart you just stole it
Don’t bother asking
Everything’s right with me
As long as you stay with me
Ki jab main had se aage badh gaya tha aashiqi mein
Yaani zindagi ko le raha mazaak hi mein
Phir mazaak hi mein mil gaya sab khaak hi mein
Chhookar aaya manzilein toh tanha tha main vaapsi mein
Jaise phool tode honge tumne jholi bhar ke
Main woh phool jo ki reh gaya tha shaakh hi mein
Jaise khwaab hi mein khwaab-gaah hain aankh hi mein
Pal se pal mein kya hua? Tum reh gaye bas yaad hi mein
Ek sawaal machalta hai mere dil mein kabhi
Tujhe main bhool jaaun ya tujhe main yaad karoon?
Tujhi ko soch ke likhta hoon jo bhi likhta hoon
Ab likh raha hoon to phir kyun na ek sawaal karoon?
Main iss sawaal se gham ko badal doon khushiyon mein
Par in bejaan si khushiyon se kya kamaal karoon?
Par ab sawaal bhi kamaal, tu sambhaal le filhaal
Ye zawaal, bichha jaal, kya main chaal chaloon?
Chaal chal tu apni, main tujhe pehchaan loonga
Main apni mehfilon mein sirf tera hi naam loonga
Tujhe pasand hai dheema lehja aur bas khamoshiyan
Main tere khaatir apni khud ki saansein thaam loonga
Kya tere saare aansu mere ho sakte hain?
Aisa hai toh tere khaatir hum bhi ro sakte hain
Mere khaatir mere rone par ab tum bas has dena ek baar
Teri muskurahat ke peeche hum sab kuch kho sakte hain
Kya meri mohabbaton ka koi hisaab nahi hai?
Kyun tere aankhon mein mere liye koi khwaab nahi hain?
Tujhe kya hi karoon ghamzada, ab jaane de
Ki tere paas mere pyaar ka jawaab nahi hai
Kitni muddatein hui hain, tumne khat kyun nahi bheja?
Gaa leta hoon tere liye, mausiqi nahi hai pesha
Aane ki khabar hi nahi tere ab
Ab kya mausamon se poochun tere aane ka andesha?
Aankhon mein aansu nahi hain, kahan hai tu? Kahan tu nahi hai?
Dil ko ab yeh jaan’na hi nahi, bas tum chale aao
Tu hai kahan?
Khwaabon ke iss sheher mein mera dil tujhe dhoondhta, dhoondhta
Arsa hua
Tujhko dekha nahi, tu na jaane kahan chhup gaya, chhup gaya
Aao, phir se hum chalein
Thaam lo yeh haath, kar do kam yeh faasle
Na pata ho manzilon ka, na hon raaste
Tu ho, main hoon, baithein dono phir hum taaron ke tale
Na subah ho phir, na hi din dhale
Kuch na keh sakein, kuch na sun sakein
Baatein saari woh dil mein hi rahein
Tumko kya pata hai kya ho tum mere liye?
Kehkashaan ho tum
Kahaaniyon ki pariyon ki tarah ho tum
Mujhmein aa sake na koi, iss tarah ho tum
Ho yaqeen tum mera, ya phir gumaan ho tum
Aashiyaan ho tum
Main bhatka sa musafir aur makaan ho tum
Meri manzilon ka ek hi raasta ho tum
Dhoondhta hai dil tujhe, bata kahan ho tum
Ho jahan kahin bhi
Aao paas taaki aansu mere tham sakein
Yaad aa rahe ho tum mujhe ab har lamhe
Aisi zindagi ka kya, jo tum
Zindagi mein hoke meri zindagi na ban sake?
Sochta rahoon ya bhool jaaun ab tumhein?
Tum mil hi na sakoge toh phir kaise chaahoon ab tumhein?
Tere saare khwaab pal mein jod denge
Jismein tu hi na basega, phir woh dil hi tod denge
Chhod denge woh sheher ki jismein tum na hoge
Toot jaayenge makaan woh saare hasraton ke
Guzre pal jo saath tere woh pal hain bas sukoon ke
Mil lo ab tum iss tarah se ki phir nahi miloge
Tu hi tha saath mein mere, kaise main jiyunga akele?
Taare gin-gin ke ho gayi hai subah
Tu hai kahan?
Khwaabon ke iss sheher mein mera dil tujhe dhoondhta, dhoondhta
Arsa hua
Tujhko dekha nahi, tu na jaane kahan chhup gaya, chhup gaya
You belong right in this moment
I’m falling fast
My heart you just stole it
Don’t bother asking
Everything’s right with me
As long as you stay with me