2013, meri umar 11 saal
Main jitna ghar ke andar utna zyada ghar se bahar
Main jitna dar ke jeeta utna dabati yeh duniya
Toh main banta tha
Bas nahi tha ratti-bhar bhi samajhdar
Samajh yaar, mujhe haar manzoor nahi thi zara bhi
Yahan zor pe asle ke duniya ek-doosre ko daraati
Yahan shor karna aam, yahan chor hukmaraan
Yahan insaan ko izzatdaar uski badtameezi banati
Toh badha di apne andar maine ana bhi
Maut ka din moyean toh maut se main dara nahi
Bahut dekhe chere, abey, bahut dekhe chehre
Mujhe mat bata ke beta kisne kiski naslein tabah ki
Aazadi abey, ghanta nahi hai sheher mein
Bike pe aata banda dekhkar do minute bhi theherte?
Nahi na? Toh kaise tu aazad hua?
Sab kuch dekh kar chup toh tu bhi maashre ka daag hua
Khaak hua 75 saalon mein kuch behtar
Bolein, “Geo toh aise,” par yahan bikein news channel
Ghoos panel khakar bole, “So sorry”
Do kaudi, saale do call upar se inki chale jaati job fauri
Shauq bahut hi mujhe lagte inke neech, haan
Ehsaan nahi kiya hum pe ban ke yoon ameer, haan
Jo mila kiya shukar, zyada paane ke chakkar mein
Khuda qasam, kabhi kara nahi sauda is zameer ka
Kab tak yoonhi darte rahein? begunaah bepanah marte rahein?
Har din jahaalat ka ek naya case
Maayein kyun na kahein bachchon ko ghar mein rahein?
Kyun na sadkon se bach ke rahein?
Kab tak in raston mein faste rahein?
Insaniyat nahi dikhti in logon mein mujhe
Yeh kis muh se firkon pe bat’te rahein?
Abey, khoyeinge tab na jab paya ho
Woh chup rahe jisne yahan khaya ho
Aisi siayast pe thookun, jahan mohalle mein bhookhe
Aur mehlon mein nematein zaaya ho
Har banda afsurda, har bande ke 20 gam
Masle yahan 100, kya-kya karein theek hum?
Badle ki soch kaise badlenge, jaana
Jab duaon ke badle mein dete hain bheekh hum?
Jee hum itne gire hue
Saazish khilaaf, lage sab mile hue hain
Inki shaklein batayein meri kamayabi khaaye inhein
Tabhi yeh udaas aur chidchide hain
Par khair, thoda fark hoga
meri jaan, humse bas tujhe dard hoga
Abey, dekh na kaun saath mere, king of my city
Toh kaise iconic nahi verse hoga?
Sunta tha Young Stunners Frontrow pe
Yeh collab mera sapna tha barson se
TY saath, tujhe G-Side maar dega
Aur kitna fame ke liye tarsoge?
Bhooke footage ke yeh leechad hain na
Inke murde in career pe keechad rehna
Beta, yeh sabar hai, kala ki qadar hai
Mar ke bhi ise na feature kehna
Maazi peeche chhod ke hum chal pade
Taqdeeron ka rukh mod ke yahan khade
Sab zanjeerein tod ke chalte rahein
Ummidon ko jod ke chalte rahein
Utaar saare qarz aur khuddar ban
Milega wohi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo, aisi deewar ban
Duniya matlabi hai, par tu ek misaal ban
Soch yeh, ana na ho savar bas
Seekhe nahi, sikhate seena faad kar
Zindagi guzaari intzaar kar
Khwaab honge poore, rakh sambhaal kar
Gunaahgaar shayad layak bhi na pyaar ke
Karte hain izhaar sab kya khwahishon ko maarte
Samajhdaar magar sheher ke liye jaan dein
Yahan koi bhooka soye nahi, yeh log ab deewar se
If I die, put my money on the streets
Sadkein gayab, magar saare phir bhi dheeth
One-four, ride or die, alag vibe, alag reach
When I be on the mic, saare high, kya main weed?
CD waale daur se aaj Spotify ke charts pe
Kuch kutte aa ke bhaunkte toh haddi deke daant’te
Kuch bichchoo dar ke kaat’te, kuch paise peeche bhaagte
Fitratein insaan ki, par nafratein yeh daag dein
Uh, gale kaato, inke haath baandh do
Kya hi diss karenge mujhe yeh chaar-paanch log?
Idhar pale, jidhar aaye din hi waardat ho
Goli chali toh bheje se tere aar-paar ho
Par khair, baadalon aur chotiyon pe rakhte nahi pair
Dilon aur dimago mein bhara hua hai zeher
Nematon se dooba hua mera poora sheher
Chhote, tair ya toh theher, kya andhera, kya saver
Saare bante sava-ser
Man, I’m done with rainy days
Khaali karo mera stage (uh)
Chhote, aukaat mein reh, kayam apni har baat pe main
Karachi ko dala hai map pe
Tere hum baap hain, chhote, aa naap toh le
Haha! Main inse chhe foot oopar
Chhati hiss ne roke hue mere 600 shooter
Bulletproof, jaise Luke, yeh toh guzrein hi na chhoo kar
Baatein chodein peeth peeche, yaar banein saare muh par
Chalte khuda ke sahaare, kab se ghar ko bhi chala rahe
Khwaab poore karte ja rahe, sabki galtiyan sudharein
Kyun yeh saale jalte mujhse aaj bhi?
Inki is jalan ka mere paas ab ilaaj nahi
Apni madad aap, sochein roz bas aakhiri
Aadatein bigaadi zindagi ne, paisa raas nahi
Kisko phir vote dein?
Har banda yahan chor, kis-kis ko rokte?
Phone de ya thok de, baandh inhein chauk pe
Likhta insaniyat pe dekhe maine mojaze
Sikhaun tabhi shauq se, aage main teri soch se
Lade hue hain maut se, khade abhi bhi top pe
Kala yeh aazaad, likhein danke ki chot pe
Karenge sab yaad jo hum aaj likhna chhod dein
Maazi peeche chhod ke hum chal pade
Taqdeeron ka rukh mod ke yahan khade
Sab zanjeerein tod ke chalte rahein
Ummidon ko jod ke chalte rahein
Utaar saare qarz aur khuddar ban
Milega wohi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo, aisi deewar ban
Duniya matlabi hai, par tu ek misaal ban
Utaar saare qarz aur khuddar ban
Milega wohi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo, aisi deewar ban
Duniya matlabi hai, par tu ek misaal ban