Kaun disa mein leke chala re, batohiya?
Kaun disa mein…
Kaun disa mein leke chala re, batohiya?
Theher-theher
Yeh suhani si dagar jara dekhan de, dekhan de
Man bharmaaye, naina baandhe yeh dagariya
Man bharmaaye…
Man bharmaaye, naina baandhe yeh dagariya
Kahin gaye jo theher, din jayega gujar
Gaadi haankan de, haankan de
Kaun disa mein leke chala re, batohiya?
Kaun disa mein…
Pehli baar hum nikle hain ghar se
Kisi anjaane ke sang, ho
Anjaane se pehchaan badhegi toh
Mehek uthega tohra ang, ho
Mehek se tu kahin behek na jaana
Mehek se tu kahin behek na jaana
Na karna mohe tang, ho
Tang karne ka tohse naata hai, gujariya
Tang karne ka…
Tang karne ka tohse naata hai, gujariya
Ayy, theher-theher
Yeh suhani si dagar jara dekhan de, dekhan de
Kaun disa mein leke chala re batohiya?
Kaun disa mein…
Kitni door, abhi kitni door hai
Ayy chandan, tohra gaanv, ho?
Kitna apna lagne lage
Jab koi bulaye leke naam, ho
Naam na lein toh kya keh ke bulayein?
Naam na lein toh kya keh ke bulayein?
Kaise chalayein kaam, ho?
Saathi-mitwa ya anaadi kaho, goriya
Saathi-mitwa…
Saathi-mitwa ya anaadi kaho, goriya
Kahin gaye jo theher, din jayega gujar
Gaadi haankan de, haankan
Kaun disa mein leke chala re, batohiya?
Kaun disa mein…
Aye gunja, uss din tohri sakhiyaan
Karti thi kya baat, ho?
Kehti thi tohre saath chalan ko
Toh aa gaye hum tohre saath, ho
Saath adhoora tab tak, jab tak
Saath adhoora tab tak, jab tak
Poore na hon phere saath, ho
Abhi toh humari hai baali re umariya
Abhi toh humari re baali hai umariya
Ayy, theher-theher
Yeh suhani si dagar jara dekhan de, dekhan de
Kaun disa mein leke chala re, botohiya?
Kaun disa mein…
Kaun disa mein leke chala re, botohiya?
Kaun disa mein…
Kaun disa mein…
Kaun disa mein…