Nagri ho Ayodhya si, Raghukul sa gharana ho
Aur charan hon Raghav ke, jahan mera thikana ho

Kaushalya si Maai ho, Lakshman sa Bhai ho
Aur Swami, tumhare jaisa mera Raghurai ho
Aur Swami, tumhare jaisa mera Raghurai ho
Nagri ho Ayodhya si, Raghukul sa gharana ho
Aur charan hon Raghav ke, jahan mera thikana ho
Aur charan hon Raghav ke, jahan mera thikana ho
Ho tyaag Bharat jaisa, Sita si naari ho
Aur Luv-Kush ke jaisi santan humari ho
Aur Luv-Kush ke jaisi santan humari ho
Shraddha ho Shravan jaisi, Shabri si bhakti ho
Aur Hanumat ke jaisi nishtha aur shakti ho
Aur Hanumat ke jaisi nishtha aur shakti ho
Nagri ho Ayodhya si, Raghukul sa gharana ho
Aur charan hon Raghav ke, jahan mera thikana ho
Aur charan hon Raghav ke, jahan mera thikana ho
Meri jeevan naiyya ho, Prabhu Ram khivaiya hon
Aur Ram Kripa ki sada mere sar par chhayiyan ho