sandeep bhaiya

Lyrics & meaning

Paar Utarna Hai

GenreIndie Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Jeet ki dhun chadhi hai, chal pade hain zor qadam
Raat kitni bhi hai gehri, hon jugnuyein roshan

Ab ki baar toh dar pe vaar hai
Sar pe Shambhu ka haath hai

Gehra hai dariya, doobe bin ab paar utarna hai
Thaani hai humne, doobe bin ab paar utarna hai

Kaun kehta hai aasmaan chhoo nahi sakta, tu bata
Koshishein aur thodi tu zara sa karna ik dafa
Roothi qismat ko tu mana, isey mehnat se aazma
Tu Sikandar hai maan le, tere haathon mein hai likha

Bhor ki aas hai, manzil paas hai