Radha Naam Lyrics

Lyrics & meaning

Radha Naam

Narci

ReleasedApril 23, 2023 GenreFolk

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Bad Chunkie

Kishori, kuch aisa intezaam ho jaaye
Hey Radhe, kuch aisa intezaam ho jaaye
Oh, zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye
Zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye

Nainon mein paani hai, peeda mein dil
Logon ke vaadon ne cheera hai dil
Duniya na samjhegi meri vyatha
Tum hi Kishori, haan, see do yeh dil

Gaye nahi hain kasht abhi
Ravi sukhon ka hai ast abhi
Duniya se paloon main kya hi ummeed
Mujhe bana lo na asht sakhi

Radha Rani, mera karta kaafi chinta mann
Dhalte din hi aansu saare mere ginta mann
Vyatha mili bhaari, par na wajah mili ek
Lene ko jawaab pahuncha hoon main Vrindavan

Haara yeh banda hai tere sahaare, jhoothe sahaaron se bane bechaare
Kara bharosa tha logon pe, par chhalon ke chaaku thhe seene pe maare
Vyatha ke aansu yeh kehte main khaak hoon, kahaan pe ja ke main khushi talashun?
Duniya farebi yeh lena sambhaal, kaanton ki duniya mein dil mera naazuk

Paane ko dukhon ke saare jawaab teri or bhagein
Hone lage zaar mere aashaon ke dhaage
Aaya hoon main aaj teri bhoomi pe, Kishori
Aankhon mein ummeedein, aur munh pe Radhe-Radhe

Kishori, kuch aisa intezaam ho jaaye
Hey Radhe, kuch aisa intezaam ho jaaye
Oh, zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye
Zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye

Kanha ji ki rani ki kahaani jisne jaani
Wo hi jaane prem mein behti khare prem ki vaani
Main logon se kya poochhunga, tabhi hoon tere dwar khada
Tumse na chhupi hai meri saari yeh kahaani

Kashton se aazaad karo, ya saath daas ke baat karo
Aage apna haath karo, hey Radha Rani, saath chalo
Dard-bhari yeh raat padho, uljhi subah-shaam padho
Bhakton ki soochi mein mera lahu se likha naam padho

Aa gaya hoon Barsana, rehem tera tu barsana
Uljhe se sawaalon ka jawaab mujhe hai bas paana
Mat jaana yoon chhod ke, daas tera yeh bhatka hai
Pehle se main haara hoon, aur mujhe na tarasana

Suna hai Vrindavan se na koi khaali haath jaata hai
Tabhi to toota dil leke har praani yahaan pe aata hai
Main bhi aage haazir hoon, baaki tumpe chhoda hai
Duniya ne jazbaaton ko 100 hisson mein kaata hai

Kishori, kuch aisa intezaam ho jaaye
Hey Radhe, kuch aisa intezaam ho jaaye
Oh, zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye
Zubaan pe Radha, Radha, Radha naam ho jaaye