Main hoon kya aur tu hai kya
Yeh toh najar-najar ki baat hai
Main hoon kahan aur tu hai kahan
Yeh toh safar-safar ki baat hai
Kisse meri dushmani aur kiska yaar tu
Main kitna hoon qaabil, kitna bekaar tu
Kya jhagda in baaton ka
Kya jhagda in baaton ka
Yeh toh ghar-ghar ki baat hai
Main hoon kahan aur tu hai kahan
Yeh toh safar-safar ki baat hai
Kisi ka jahan hai kitna bada
Yeh woh jaane ya khuda jaane
Tu uski rooh mein rehta nahi
Bahar se dekh ke kya jaane
Kisi ka jahan hai kitna bada
Yeh woh jaane ya khuda jaane
Tu uski rooh mein rehta nahi
Bahar se dekh ke kya jaane
Uski apni ladaiyan aur kaise woh lade
Jamaane se lade woh aur may se woh lade
Tu kaise mare, woh kaise mare
Tu kaise mare, woh kaise mare
Yeh toh zeher-zeher ki baat hai
Main hoon kahan aur tu hai kahan
Yeh toh safar-safar ki baat hai
Tujhko mila pyaar
Usey dard mila toh koi baat nahi
Tujhko din mein bhi chain mila
Usey neend ki koi bhi raat nahi
Tujhko mila pyaar
Usey dard mila toh koi baat nahi
Tujhko din mein bhi chain mila
Usey neend ki koi bhi raat nahi
Uski apni manzilein aur apni dhool hai
Murjhai kiti kaliyan aur kitne fool hain
Kab humaare barishein, kab tumhare barishein
Humaare barishein, kab tumhare barishein
Yeh toh sheher-sheher ki baat hai
Main hoon kya aur tu hai kya
Yeh toh najar-najar ki baat hai
Main hoon kahan aur tu hai kahan
Yeh toh safar-safar ki baat hai