Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye
Raat-raat bhar yaadein teri aati rahi
Diljala main pehle se, yeh aur jalaati rahi
Dhoondne jo nikla kuch sukoon zamane mein
Chaah kar bhi saala dil kahin laga hi nahi
Laga hi nahi ek pal ghar se may-khaane mein
Ghol karke pee gaya woh khat tere purane main
Ek baat toh batao, jaan, theek ho na?
Waqt bahut lag raha hai tumko aane mein
Aao ke raatein ab yeh kaati nahi jaati
Haara sab tujhpe, mujhmein kuch bhi nahi baaqi
Ab toh yeh aalam hai, dil qaabu mein nahi
Rokun kaise khud ko? Koyi bataye
Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye
Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye
Kal raaste mein takra gaye jo
Pheroge kya nazrein?
Dekh ke hum ko tum has dena
Achcha lagega humein
Thoda sanwar loon, aankhon mein bhar loon
Rakh loon main tujhko wahin
Duniya yeh gum ho, bas main aur tum ho
Raat ki chadar tale
Tera naam meri saanson mein hai aaj bhi
Tera ilaaj is glass mein hai aaj bhi
Jala chuke ho sab nishaniyan meri, magar
Tera rumaal mere paas mein hai aaj bhi
Aaj bhi aao seedha seene se lago
Naarazgi bhi hum ko tum si nahi aati
Aao ke raatein ab yeh kaati nahi jaati
Dekhun ek pal tujhko, chain aaye
Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye
Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye
Ek toh tera gham tadpaye
Ek toh tera naam na jaaye
Ek toh neend aati nahi
Uspe teri yaad raat-raat bhar aaye