udd chala lyrics taba chake

Lyrics & meaning

Udd Chala

GenreIndie Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Kya kahoon, tumko main bata doon
Teri honthon ki yeh hasi jo
Kya yeh mujhse keh rahi
Teri baatein ankahi main na jaanu

Teri aankhein jo keh rahi hain
Bin samjhe main samajh raha hoon
Kahaani si yeh kuch suna rahi
Keh bhi toh do na jo kehti yeh nigahein

Main udd chala, main kho gaya
Tujhe palkon pe liye
Teri hasi sabse haseen
Dhadka diya yeh dil mera

Tu kahe toh chaand tod laaun
Saari duniya ki khushi dila doon
Hawayein mujhse keh rahi
Tum bhi suno na kya kehna yeh chaahein

Main udd chala, main kho gaya
Tujhe palkon pe liye
Teri hasi sabse haseen
Dhadka diya yeh dil mera

Haath mera thaam le tu
Saath chal tu mere sang
Parchhayi ban ja tu meri
Kuch bhi na hoon main tere bin

Aao na, aao na
Paas mere aao na
Na jaao na, na jaao na
Door humse na jaao na

Main udd chala, main kho gaya
Tujhe palkon pe liye
Teri hasi sabse haseen
Dhadka diya yeh dil mera

Main udd chala, main kho gaya
Tujhe palkon pe liye
Teri hasi sabse haseen
Dhadka diya yeh dil mera