Ye Tune Kya Kiya Female Version Lyrics

Lyrics & meaning

Ye Tune Kya Kiya (Female Version)

Swasti Mehul

ReleasedOctober 25, 2021 GenreDevotional & Spiritual

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Kyun tune meri fursat ki?
Kyun dil mein itni harkat ki?
Ishq mein itni barkat ki
Ye tune kya kiya?

Phirun ab maara-maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main?
Ye tune kya kiya?

Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara, kiya tune kya asar?

Main dil ka raaz kehta hoon
Ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?

Payaa, maine payaa, haan
Payaa, maine payaa tumhein, rab ne milaaya tumhein
Honthon pe sajaya tumhein, naghme sa gaaya tumhein
Payaa, maine payaa tumhein, sab se chhupaya tumhein
Sapna banaaya tumhein, neendon mein bulaaya tumhein

Meri baahon ko teri saanson ki jo aadatein lagi hain aisi
Jee leta hoon ab main thoda aur
Mere dil ki ret pe aankhon ki jo pade parchhai teri
Pi leta hoon tab main thoda aur

Jaane kaun hai tu meri main na jaanu ye, magar
Jahan jaau main, karu main wahaan tera hi zikar

Mujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiya?

Main dil ka raaz kehta hoon
Ki jab-jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon, ye tune kya kiya?

Payaa, maine payaa, haan
Payaa, maine payaa tumhein, rab ne milaaya tumhein
Honthon pe sajaya tumhein, naghme sa gaaya tumhein
Payaa, maine payaa tumhein, sab se chhupaya tumhein
Sapna banaaya tumhein, neendon mein bulaaya tumhei

Tum jo aaye zindagi mein, baat ban gai
Ishq mazhab, ishq meri zaat ban gai
Haan, tum jo aaye zindagi mein, baat ban gai

Ho, tere vaaste mera ishq sufiyaana
Mera ishq sufiyaana, mera ishq sufiyaana
Tere vaaste mera ishq sufiyaana
Mera ishq sufiyaana, mera ishq sufiyaana