Zikr tera jab bhi hua, mehfil se hi main chal diya
Ek yaar tha bas tu mera, tu bhi kisi ka ho chuka
Do pal ki thi yeh dastaan, ab tum kahan aur hum kahan
Mann tha bada chalta sada tera-mera yeh raabta
Aaj bhi teri kami, kyun raat yeh dhalti nahi?
Na woh baatein, na woh yaadein, kuch nahi
Saajan, aao, mujhko na yoon sataao
Mujhko gale lagao, ab aa bhi jaao na
Toota tara, tujhko paa ke main haara
Tujh sang jo waqt guzra, mujhko lauta de tu
Kahan hai woh jo kehta tha, “Badlunga na main kabhi”
Jahan bhi hai, ab khush rahe, duayein yeh deta hai dil
Hum mil ke bhi na mil sake, kuch aise hain yeh silsile
Hogi kami ek din tumhein mere pyaar ki, yeh maan lo
Dhoondhte phiroge tum, hum na milenge ab kahin
Na woh baatein, na woh yaadein, kuch nahi
Bina tere raatein meri adhoori
Baatein thi woh zaroori, kyun tod gaye yaari?
Woh zamane hum toh na bhool paaye
Tujh sang jo pal bitaaye, mujhko lauta de tu
Chaaha hai tujhko dil se, maanga hai tujhko Rab se
Baahon mein mujhko bhar lo na
Bewafa hai yeh zamana, tera-mera hai saath purana
Woh vaade bhool na jaana
Ek zamana hua hai tujhe dekhe
Milne kisi bahaane ab aa bhi jaao na
Saajan, aao, mujhko na yoon sataao
Mujhko gale lagao, ab aa bhi jaao na