ye kya hua lyrics

Lyrics & meaning

Ye Kya Hua

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Yeh kya hua hai naya-naya sa
Aisa lage bansuri si baje seene mein

Shatir shikari sa, seene pe bhaari sa
Patthar tha, aa-haan-haan-haan-haan
Zalim kahin ka yeh, dil toh nahi tha yeh
Banjar tha, aa-haan-haan-haan-haan

Phir se yeh jeene laga
Dil mere seene laga

Aa-haan, seene laga
Kehti hai har jagah mujhe
Aa-haan, seene laga
Kehta hai dil yaar da

Kaise lage hain, kaise lage hain yeh pankh se?
Seene mein dhadkan jaagi, baje shankh se
Kya hua?
(Naya, naya, naya main hua)

Dikhne lagi mujhko saare jahan mein hi khoobiyan
Raston mein baithi ya dil mein bhari hain mastiyan, haan-haan
Chalun main toh aage chalun, phir ek angdaai loon

Aa-haan, seene laga
Kehti hai har jagah mujhe
Aa-haan, seene laga
Kehta hai dil yaar da

Apne havale, apne havale lo main ho gaya
Woh jo purana main tha, kahin kho gaya
Kya hua? (Kya hua? Kya hua?)
Yeh kya hua? (Yeh kya hua?)

Mitne lagi dekho mujhse sabhi meri dooriyan
Badhne lagi ab toh sab mein hi meri dilchaspiyan
Nayi raahein phir dhoondh loon, naye yaaron se phir milun

Aa-haan, seene laga
Kehti hai har jagah mujhe
Aa-haan, seene laga
Kehta hai dil yaar da