Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta
Gaya hai tu tabhi se main mohabbat hi nahi karta
Main marzi se bana paagal, bana bedil, bana shayar
Mohabbat ke siva kuch bhi bina marzi nahi karta
Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta
Yaqeenan kuch kashish, jaadu, nasha tujhmein base, warna
Kisi ke saamne main minnatein-arzi nahi karta
Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta
Mere dil ke makaan par iss qadar kabza kiya usne
Kiraya bhi nahi deta, woh khaali bhi nahi karta
Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta
Mohabbat naam ka teacher kitaab-e-gham padhata hai
Junooni saal-bhar mein ek din chutti nahi karta
Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta
Raha hai fauj mein aashiq, wahin ki aadatein hain yeh
Bahe hai khoon phir bhi zakhm par patti nahi karta
Kabhi dil hi nahi karta, zara sa bhi nahi karta