Jay ho, jay ho, Shankara (Bholenath-Shankara)
Aadidev Shankara (Hey, Shivaay-Shankara)
Tere jaap ke bina (Bholenath-Shankara)
Chale yeh saans kis tarah? (Hey, Shivaay-Shankara)
Mera karm tu hi jaane, kya bura hai, kya bhala
Tere raaste pe main toh aankh moond ke chala
Tere naam ki jot ne saara har liya tamas mera
Namo-namo ji Shankara, Bholenath-Shankara
Jay Triloknath-Shambhu, hey, Shivaay-Shankara
Namo-namo ji Shankara, Bholenath-Shankara
Rudradev, hey, Maheshwara
Srishti ke janam se bhi pehle tera vaas tha
Yeh jag rahe ya na rahe, rahegi teri aastha
Kya samay, kya pralay
Dono mein teri mahanta, mahanta, mahanta
Seepiyon ki ot mein (Bholenath-Shankara)
Motiyan hon jis tarah (Hey, Shivaay-Shankara)
Mere mann mein, Shankara (Bholenath-Shankara)
Tu basa hai uss tarah (Hey, Shivaay-Shankara)
Mujhe bharam tha jo hai mera, tha kabhi nahi mera
Arth kya, nirarth kya, jo bhi hai, sabhi tera
Tere saamne hai jhuka, mere sar pe haath rakh tera
Namo-namo ji Shankara, Bholenath-Shankara
Jay Triloknath-Shambhu, hey, Shivaay-Shankara
Namo-namo ji Shankara, Bholenath-Shankara
Rudradev, hey, Maheshwara
Chandrama lalaat pe, bhasm hai bhujaon mein
Wastra baagh-chhaal ka, hai khadaau paanv mein
Pyaas kya ho tujhe
Ganga hai teri jataaon mein, jataaon mein, jataaon mein
Doosro ke vaaste (Bholenath-Shankara)
Tu sadaiv hi jiya (Hey, Shivaay-Shankara)
Maanga kuch kabhi nahi (Bholenath-Shankara)
Tune sirf hai diya (Hey, Shivaay-Shankara)
Samudra manthan ka tha samay jo aa pada
Dvandva dono lok mein vishamrit pe tha chhida
Amrit sabhi mein baant ke pyaala vish ka tune khud piya