dekhte hi tujhe dil deewana hua lyrics

Lyrics & meaning

Shaam Bhi Khoob Hai

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai
Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai
Zindagi ke liye aur kya chahiye?

Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai
Aashiqi ke liye aur kya chahiye?
Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai

Kya haseen hai sama, dhadkanein hain jawaan
Kya haseen hai sama, dhadkanein hain jawaan
Dosti ke liye aur kya chahiye?
Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai

Chaand ki chaandni, aasmaan ki pari
Shayaron ke liye tu hai ek shayari
Haan, dekhte hi tujhe dil deewana hua
Chaahaton ka shuru ek fasana hua

Rang hai, noor hai, chain hai, khwaab hai
Rang hai, noor hai, chain hai, khwaab hai
Ab khushi ke liye aur kya chahiye?
Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai

Husn hai, pyaar hai, dil hai, dildar hai
Husn hai, pyaar hai, dil hai, dildar hai

Bolti hai nazar, chup hai meri zubaan
Har kisi se juda hai meri dastaan
Na kisi se kabhi pyaar maine kiya
Dard-e-dil na kabhi, yaar, maine liya

Saaz hai, geet hai, sur hai, sangeet hai
Saaz hai, geet hai, sur hai, sangeet hai
Mausiqi ke liye aur kya chahiye?

Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai
Zindagi ke liye aur kya chahiye?
Shaam bhi khoob hai, paas mehboob hai
Aashiqi ke liye aur kya chahiye?