Khoya Khoya Lyrics

Lyrics & meaning

Khoya Khoya

Anumita Nadesan

ReleasedJune 8, 2023 GenreIndian Pop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Kuch toh naya hai aasmaan
Chaaron taraf mera aashiyaan
In baadalon mein dekha tujhe
Yeh tu hai ya khwaab mera?

Pairon tale lehron sa
Ek pal mein sau lamhon sa
Sehme mere saazon mein
Rehta hai ek raaz sa

Kehna kya hai zaroori
Chehre pe sab likha
Kho na jaaye yunhi
Phir sab tha khwaah-makhaah

Phirta hai mann yeh roz, roz, roz
Hoon behoshi mein hi
Ab toh khwaabon ka shor roz-roz
Na khamoshi rahi

Kuch toh naya hai aasmaan
Chaaron taraf mera aashiyaan

Lamha bhar yaadein leke hum bhaagein
Mann se mann ko jaayein raahein aa

Khoya-khoya lage kyun? Sab hai toh yahin
Bhaage jaaye zamaana, par main hoon yahin
Yoon toh rasta purana, kyun lage ajnabi?
Reh na jaayein yahin hum faaslon mein kahin

Phirta hai mann yeh roz, roz, roz
Hoon behoshi mein hi
Ab toh khwaabon ka shor roz-roz
Na khaamoshi rahi

Kuch toh naya hai aasmaan
Chaaron taraf mera aashiyaan
In baadalon mein dekha tujhe
Yeh tu hai ya khwaab mera?