wo pyar karta hai dikhata nahi hai lyrics

Lyrics & meaning

Wo Pyar Karta Hai Dikhata Nahi Hai

Kirti Dahiya

GenrePoetry

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Wo pyaar karta hai, dikhata nahi hai
Mohabbat ke qisse sunata nahi hai
Wo pyaar karta hai, dikhata nahi hai
Mohabbat ke qisse sunata nahi hai
Sadak par chalte hue bahar ko chalta hai
Khayal rakhta hai, jatata nahi hai
Khayal rakhta hai, jatata nahi hai

Ho chaar-deewari, ya baat bazaar ki
Ho chaar-deewari, ya baat bazaar ki
Uske lehze mein farq aata nahi hai
Bas salaah deta hai haath pakadkar
Bas salaah deta hai haath pakadkar
Jeene ka dhang sikhata nahi hai