Apun jaise tapori ko kya maalum
Saala pyaar kis chidiya ka naam hai
Lukkha-giri karke apna timepass hota hai
Beedi-paan, chai milta hai, bas apun khush
Yeh pyaar ka lafda, locha kaaye ko
Kaaye ko, arey, kaaye ko re?
Phir bole toh ek din
Apun ke mohalle mein Hema aayi
Oh-oh-oh-oh
Oh-oh-oh-oh…
Saala, apun ka khopdi chakkar kha gaya
Truck ke saath dil saala takkar kha gaya, haha!
Hey, ayy
Chaayela, kya surat thi woh
Kya kehte hain (kya kehte hain)
Haan, zulfein, kya zulfein thi
Chalti thi ek dum hawa ke maafik
Aankhein aisi ki ruka dein traffic
Apun socha, apun ka beda paar ho gaya
Bole toh, baap
Saala apun ko bhi pyaar ho gaya, haha!
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Din-bhar apun uski khidki ke neechu
Koi lafda nahi, kuch nahi
Teen din na Aziz se raada
Na Usman se panga, bas chup-chaap
Hey, pehli baar ladki dekhi
(Par seeti nahi maari)
Hey, aankhein mil bhi jaati toh
(Toh kya? Aankh nahi maari?)
Apun ka bhidu log saala dar gaya
Bola, “Kya bey Munna, saala tu bhi sudhar gaya”
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Phir ek din usko dekh ke Kallan bola
“Ayy, Munna Bhai, woh dekh
Kya qayamat ja reli hai, baap”
Apun ka khopdi sanka
Kallan ko pakda aur bola
“Idhar aa shaane, tere ko qayamat dikhata hoon”
Saale ko itna dhoya, itna dhoya
Abhi tak thobda waankda hai
Aur aaj tak apun ke saath uska 36 ka aankda hai
Samjha, samjha kya? (Phir Hema ka kya hua?)
Hey, phir ek din woh apun ko dekh ke hasi
Apun bola, “Baap, hasi toh phasi”
Lagta hai woh bhi apun pe fida ho gayi
Do din ke baad uski shaadi ho gayi
Apun ke saamne woh ghar se vida ho gayi
Uski doli uthi, apun, apun udhar ich khada tha
Lekin woh apun ko nahi dekhi
Woh raat apun do baje tak piya
Woh raat apun do baje tak piya
Saala ek, ek sapna dekha tha
Lekin maa kasam, ek aansu nahi roya
Kaaye ko royega, kaaye ko royega?
Saala, apun ich yeda tha na
Agle din wahich pehle ke maafik life chaalu
Wahich gandey glass mein chai, wahich paan-beedi
Aziz ko itna maara, itna maara log samjhe woh marega
Bhoolne ka hai, bhoolne ka hai, par kya karega?
Sapna toota hai toh dil kabhi jalta hai
Haan, thoda dard hua, par chalta hai
Sapna toota hai toh dil kabhi jalta hai
Haan, thoda dard hua, par chalta hai
(Phir, phir kya hua?) Phir, phir kya…
Agle din apne mohalle mein Aishwarya aayi, haha!
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Oh-oh-oh-oh, oh-oh-oh-oh
Apna khopdi phir chakkar kha gaya
Phir truck ke saath dil saala phir takkar kha gaya, je baat
Chaayela, kya surat thi…
Ayy, aankhein aisi ke…
Ayy, Munna Bhai, tere dil ka traffic phir se ruka kya? Hahahah!