Hawa Ke Jhonke Aaj Mausam Se Rooth Gaye Lyrics

Lyrics & meaning

Sawaar Loon

Monali Thakur

FromLootera

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan, jo bhanwre aake loot gaye

Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Isi bahaane kyun na main bhi dil ka haal zara
Sawaar loon, sawaar loon, sawaar loon, haay, sawaar loon

Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan, jo bhanwre aake loot gaye

Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Isi bahaane kyun na main bhi dil ka haal zara
Sawaar loon, haaye, sawaar loon
Sawaar loon, haaye, sawaar loon

Baramade puraane hain, nayi si dhoop hai
Jo palkein khatkhata raha hai, kiska roop hai?

Sharaaratien kare jo aise bhool ke hijaab
Kaise usko naam se main pukaar loon?
Sawaar loon, sawaar loon, sawaar loon, haay, sawaar loon

Ye saari koyalein bani hain aaj daakiya
Kuhu-kuhu mein chitthiyan padhen mazaakiya
Ye saari koyalein bani hain aaj daakiya
Kuhu-kuhu mein chitthiyan padhen mazaakiya

Inhein kaho ki na chhupaaye, kisne hai likha bataaye
Uski aaj main nazar utaar loon
Sawaar loon, haay, sawaar loon, sawaar loon, sawaar loon

Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan, jo bhanwre aake loot gaye

Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Isi bahaane kyun na main bhi dil ka haal zara…