Aata Nahi Yakeen Kya Se Kya Ho Gaya Lyrics

Lyrics & meaning

Dil De Diya Hai

Anand Raj Anand

FromMasti

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam

Ho, Rab di qasam, yaara, Rab di qasam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam

Rukh zindagi ne mod liya kaisa
Humne socha nahi tha kabhi aisa
Rukh zindagi ne mod liya kaisa
Humne socha nahi tha kabhi aisa

Aata nahi yaqeen, kya se kya ho gaya
Kis tarah main tumse bewafa ho gaya

Insaf kar do, mujhe maaf kar do
Itna hi kar do karam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam

Aawaargi mein ban gaya deewana
Maine kyun saadgi ko nahi jaana?
Aawaargi mein ban gaya deewana
Maine kyun saadgi ko nahi jaana?

Chaahat yahi hai ki is qadar pyaar doon
Qadmon mein tere main do jahaan waar doon

Chain mera le lo, khushi meri le lo
De do mujhe, de do saare gham
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam

Mere ashk keh rahe meri kahaani
Inhein samjho na tum sirf paani
Mere ashk keh rahe meri kahaani
Inhein samjho na tum sirf paani

Ro-ro ke aansuon ke daagh dhul jaayenge
Inmein wafa ke rang aaj ghul jaayenge

Paas tum rahogi, bhool ab nahi hogi
Karunga nahi tumpe sitam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam

Ho, Rab di qasam, yaara, Rab di qasam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam
Dil de diya hai, jaan tumhein denge
Daga nahi karenge, sanam