
Lyrics & meaning
Dekhte Dekhte
Atif Aslam
Choose your script
Read the Song Lyrics
Raj ke hasaya, raj ke rulaya
Maine dil kho ke ishq kamaya
Maanga jo usne ek sitara
Humne zameen pe chaand bulaya
Jo aankhon se, haaye
Woh jo aankhon se ek pal na ojhal huye
Woh jo aankhon se ek pal na ojhal huye
Laapata ho gaye dekhte-dekhte
Sochta hoon…
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Woh jo kehte the, “Bichhdenge na hum kabhi”
Woh jo kehte the, “Bichhdenge na hum kabhi”
Alvida ho gaye dekhte-dekhte
Sochta hoon…
Ek main, ek woh, aur shaamein kayi
Chaand roshan the tab aasmaan mein kayi
Ek main, ek woh, aur shaamein kayi
Chaand roshan the tab aasmaan mein kayi
Yaariyon ka woh dariya utar bhi gaya
Aur haathon mein bas ret hi reh gayi
Koi pooche ki, haaye
Koi pooche ki humse khata kya hui
Kyun khafa ho gaye dekhte-dekhte?
Aate-jaate the jo saans ban ke kabhi
Aate-jaate the jo saans ban ke kabhi
Woh hawa ho gaye dekhte-dekhte
Woh hawa ho gaye, haaye
Woh hawa ho gaye dekhte-dekhte
Alvida ho gaye dekhte-dekhte
Laapata ho gaye dekhte-dekhte
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Jeene-marne ki hum the wajah aur hum hi
Jeene-marne ki hum the wajah aur hum hi
Bewajah ho gaye dekhte-dekhte
Sochta hoon…
Sochta hoon ki woh kitne maasoom the
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Kya se kya ho gaye dekhte-dekhte
Kya se kya ho gaye, oh…
रज के हँसाया, रज के रुलाया
मैंने दिल खो के इश्क़ कमाया
माँगा जो उसने एक सितारा
हमने ज़मीं पे चाँद बुलाया
जो आँखों से, हाय
वो जो आँखों से एक पल ना ओझल हुए
वो जो आँखों से एक पल ना ओझल हुए
लापता हो गए देखते-देखते
सोचता हूँ…
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
वो जो कहते थे, “बिछड़ेंगे ना हम कभी”
वो जो कहते थे, “बिछड़ेंगे ना हम कभी”
अलविदा हो गए देखते-देखते
सोचता हूँ…
एक मैं, एक वो, और शामें कई
चाँद रोशन थे तब आसमाँ में कई
एक मैं, एक वो, और शामें कई
चाँद रोशन थे तब आसमाँ में कई
यारियों का वो दरिया उतर भी गया
और हाथों में बस रेत ही रह गई
कोई पूछे कि, हाय
कोई पूछे कि हमसे ख़ता क्या हुई
क्यूँ ख़फ़ा हो गए देखते-देखते?
आते-जाते थे जो साँस बन के कभी
आते-जाते थे जो साँस बन के कभी
वो हवा हो गए देखते-देखते
वो हवा हो गए, हाय
वो हवा हो गए देखते-देखते
अलविदा हो गए देखते-देखते
लापता हो गए देखते-देखते
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
जीने-मरने की हम थे वजह और हम ही
जीने-मरने की हम थे वजह और हम ही
बेवजह हो गए देखते-देखते
सोचता हूँ…
सोचता हूँ कि वो कितने मासूम थे
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
क्या से क्या हो गए देखते-देखते
क्या से क्या हो गए, ओ…
