
Lyrics & meaning
Agar Tum Saath Ho
Alka Yagnik, Arijit Singh
Choose your script
Read the Song Lyrics
Pal-bhar theher jao, dil yeh sambhal jaye
Kaise tumhein roka karoon?
Meri taraf aata har gham fisal jaye
Aankhon mein tum ko bharoon
Bin bole baatein tum se karoon
‘Gar tum saath ho
‘Gar tum saath ho
Behti rehti nehar, nadiya si teri duniya mein
Meri duniya hai teri chaahaton mein
Main dhal jaati hoon teri aadaton mein
‘Gar tum saath ho
Teri nazaron mein hain tere sapne
Tere sapnon mein hai naarazi
Mujhe lagta hai ki baatein dil ki
Hoti lafzon ki dhokhebaazi
Tum saath ho ya na ho, kya farq hai?
Bedard thi zindagi, bedard hai
Agar tum saath ho
Agar tum saath ho
Palkein jhapakte hi din ye nikal jaaye
Baithi-baithi bhagi phiru
Meri taraf aata har gham fisal jaaye
Aankhon mein tum ko bharoon
Bin bole baatein tum se karoon
‘Gar tum saath ho
‘Gar tum saath ho
Teri nazaron mein hain tere sapne
Tere sapnon mein hai naarazi
Mujhe lagta hai ki baatein dil ki
Hoti lafzon ki dhokhebaazi
Tum saath ho ya na ho, kya farq hai?
Bedard thi zindagi, bedard hai
Agar tum saath ho (Dil yeh sambhal jaaye)
Agar tum saath ho (Har gham fisal jaaye)
Agar tum saath ho (Din yeh nikal jaaye)
Agar tum saath ho (Har gham fisal jaaye)
पल-भर ठहर जाओ, दिल ये सँभल जाए
कैसे तुम्हें रोका करूँ?
मेरी तरफ़ आता हर ग़म फिसल जाए
आँखों में तुम को भरूँ
बिन बोले बातें तुम से करूँ
‘गर तुम साथ हो
अगर तुम साथ हो
बहती रहती नहर, नदिया सी तेरी दुनिया में
मेरी दुनिया है तेरी चाहतों में
मैं ढल जाती हूँ तेरी आदतों में
‘गर तुम साथ हो
तेरी नज़रों में हैं तेरे सपने
तेरे सपनों में है नाराज़ी
मुझे लगता है कि बातें दिल की
होती लफ़्ज़ों की धोखेबाज़ी
तुम साथ हो या ना हो, क्या फ़र्क़ है?
बेदर्द थी ज़िंदगी, बेदर्द है
अगर तुम साथ हो
अगर तुम साथ हो
पलकें झपकते ही दिन ये निकल जाए
बैठी-बैठी भागी फिरूँ
मेरी तरफ़ आता हर ग़म फिसल जाए
आँखों में तुम को भरूँ
बिन बोले बातें तुम से करूँ
‘गर तुम साथ हो
अगर तुम साथ हो
तेरी नज़रों में हैं तेरे सपने
तेरे सपनों में है नाराज़ी
मुझे लगता है कि बातें दिल की
होती लफ़्ज़ों की धोखेबाज़ी
तुम साथ हो या ना हो, क्या फ़र्क़ है?
बेदर्द थी ज़िंदगी, बेदर्द है
अगर तुम साथ हो (दिल ये सँभल जाए)
अगर तुम साथ हो (हर ग़म फिसल जाए)
अगर तुम साथ हो (दिन ये निकल जाए)
अगर तुम साथ हो (हर ग़म फिसल जाए)
