Billo Rani

Lyrics & meaning

Billo Rani

Richa Sharma, Anand Raaj Anand

FromDhan Dhana Dhan Goal Released2007

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Haan, sheher mein doosri koi nahi tujhsi, Billo
(Arey, Billo, bola, Billo)
Jo bhi dekhe, yahi pooche (Kya pooche?)
“Hai ye kiski Billo?” (Aaha!)
Har ada teri jagati hai qayamat koi
Har kadam par tu giraati chale bijli, Billo

Ishq karke tujhse, deewana beimaan hua, barbaad hua
Bhool gaya apna bhi naam jab naam tera iss se yaad hua
Ishq karke tujhse, deewana beimaan hua, barbaad hua
Bhool gaya apna bhi naam jab naam tera iss se yaad hua

Yeh hain jo Majnu (Haaye), inhein kya main samjhoon? (Uff, tauba)
Roz ho jaate hain yeh kisi na kisi pe fida, arey, haan
Aaj iske peeche (Haaye), kal uske peeche (Uff, tauba)
Kya thikana hai inka ki ho jaayein kab laapata

Ho, inki mohabbat resham ka jaal hai
Haaye, deewangi bhi inki ek chaal hai

Ho, Billo raani (Oye-hoye)
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon

Ishq karke tujhse, deewana beimaan hua, barbaad hua
Bhool gaya apna bhi naam jab naam tera iss se yaad hua
Ishq karke tujhse, deewana beimaan hua, barbaad hua
Bhool gaya apna bhi naam jab naam tera iss se yaad hua

Lachakti baahon ke iss gulshan mein, phoolon jaise iss tan mein
Ho, paagal hi kar de, aisi khushboo hai
Chamakti aankhon ke in taaron mein, honthon ke gulzaaron mein
Ho, deewana kar de, aisa jaadu hai

Ho, teri baatein rijhaayein mere dil ko
Phir bhi main na maanoon inhein, ho, main na maanoon
Teri aankhein dikhayein mujhko sapne
Par na sachcha jaanoon inhein, offo

Raah mein tune mujhe roka hai
Haaye, iss mein koi na koi dhoka hai

Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon

Ki ab tak tumhari samajh mein aayi nahi
Ghoom liyo chahe sab duniya
Haye, humsa premi na mili hai tumka kahin

Ki Billo dhadak-dhadak hi mann dhadkat hai
Tan ma agni bhadkat hai
Jab-jab lagaavat ho tum thumka kahin

Ho, teri neeyat hai khoti
Mann hai paapi, harjaai tu, beimaan tu
Teri chaahat main jaanoon
Raja, kya hai, mujhko bholi nahi jaan tu

Haan, bhes banaaye premi kaasa hai
Haaye, tu bhanwra, tu ras ka pyaasa hai

Ho, Billo raani, ho, Billo, ho, Billo…
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Ho, jaan de doon, ji kare imaan de doon
Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon
Oh, Billo raani, kaho toh abhi jaan de doon