Saturday, November 16, 2024

Taare Zameen Par

Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya Lyrics

Taare Zameen Par is a captivating Hindi Bollywood masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Shankar Mahadevan, Dominique & Vivieanne Pocha. The lyrics of the song are penned by Prasoon Joshi, while its mesmerizing music is composed and produced by Shankar-Ehsaan-Loy. Taare Zameen Par was released as a part of the album Taare Zameen Par (Original Motion Picture Soundtrack) on November 5, 2007. The song has captivated many and is often searched for with the query “Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya Lyrics”. Adding to its allure, the song features the captivating presence of Aamir Khan, Darsheel Safary & Tisca Chopra, enhancing the overall appeal of this musical masterpiece. Below, you’ll find the lyrics for Shankar Mahadevan, Dominique & Vivieanne Pocha’s “Taare Zameen Par”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Romanized Script
Native Script

Dekho inhein, yeh hain oas ki boondein
Patton ki god mein aasmaan se koodein
Angdaayi lein phir karvat badal kar
Naazuk se moti hans dein phisal kar

Kho na jaayein yeh taare zameen par

Yeh toh hain sardi mein dhoop ki kiranein
Utrein jo aangan ko sunehra sa karne
Mann ke andheron ko roshan sa kar dein
Thithurti hatheli ki rangat badal dein

Kho na jaayein yeh taare zameen par

Jaise aankhon ki dibiya mein nindiya
Aur nindiya mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaaye farishta sa koi
Jaise rangon-bhari pichkaari
Jaise titliyan phoolon ki kyaari
Jaise bina matlab ka pyaara rishta ho koi

Yeh toh aasha ki leher hai
Yeh toh ummeed ki seher hai
Khushiyon ki neher hai

Kho na jaayein yeh taare zameen par

Dekho raaton ke seene pe yeh toh
Jhilmil kisi lau se uge hain
Yeh toh ambiya ki khushboo hain
Baaghon se beh chalein

Jaise kaanch mein choodi ke tukde
Jaise khile-khile phoolon ke mukhde
Jaise bansi koi bajaaye pedon ke tale

Yeh toh jhonke hain pawan ke
Hain yeh ghungroo jeevan ke
Yeh toh sur hain chaman ke

Kho na jaayein yeh taare zameen par

Mohalle ki raunak galiyan hain jaise
Khilne ki zid par kaliyan hain jaise
Mutthi mein mausam ki jaise hawaayein
Yeh hain buzurgon ke dil ki duaayein

Kho na jaayein yeh taare zameen par (taare zameen par)

Kabhi baatein jaise daadi-naani
Kabhi chhalkein jaise nam-nam paani
Kabhi ban jaayein bhole sawaalon ki jhadi
Sannate mein hansi ke jaise
Soone honthon pe khushi ke jaise
Yeh toh noor hain
Barsein ‘gar teri qismat ho badi

Jaise jheel mein lehraaye chanda
Jaise bheed mein apne ka kandha
Jaise manmauji nadiya jhaag uda ke kuch kahe
Jaise baithe-baithe meethi si jhapki
Jaise pyaar ki dheemi si thapki
Jaise kaanon mein sargam har-dam bajti hi rahe
Jaise barkha udaati hai bundiya…

Kho na jaayein yeh, kho na jaayein…
Kho na jaayein yeh…
Kho na jaayein yeh, kho na jaayein yeh…
Kho na jaayein yeh…

देखो इन्हें, ये हैं ओस की बूँदें
पत्तों की गोद में आसमाँ से कूदें
अंगड़ाई लें फिर करवट बदलकर
नाज़ुक से मोती हँस दें फिसलकर

खो ना जाएँ ये तारे ज़मीं पर

ये तो हैं सर्दी में धूप की किरणें
उतरें जो आँगन को सुनहरा सा करने
मन के अँधेरों को रोशन सा कर दें
ठिठुरती हथेली की रंगत बदल दें

खो ना जाएँ ये तारे ज़मीं पर

जैसे आँखों की डिबिया में निंदिया
और निंदिया में मीठा सा सपना
और सपने में मिल जाए फ़रिश्ता सा कोई
जैसे रंगों-भरी पिचकारी
जैसे तितलियाँ फूलों की क्यारी
जैसे बिना मतलब का प्यारा रिश्ता हो कोई

ये तो आशा की लहर है
ये तो उम्मीद की सहर है
ख़ुशियों की नहर है

खो ना जाएँ ये तारे ज़मीं पर

देखो रातों के सीने पे ये तो
झिलमिल किसी लौ से उगे हैं
ये तो अंबिया की ख़ुशबू हैं, बाग़ों से बह चलें
जैसे काँच में चूड़ी के टुकड़े
जैसे खिले-खिले फूलों के मुखड़े
जैसे बंसी कोई बजाए पेड़ों के तले

ये तो झोंके हैं पवन के
हैं ये घुँघरू जीवन के
ये तो सुर हैं चमन के

खो ना जाएँ ये तारे ज़मीं पर

मोहल्ले की रौनक गलियाँ हैं जैसे
खिलने की ज़िद पर कलियाँ हैं जैसे
मुट्ठी में मौसम की जैसे हवाएँ
ये हैं बुजुर्गों के दिल की दुआएँ

खो ना जाएँ ये तारे ज़मीं पर (तारे ज़मीं पर)

कभी बातें जैसे दादी-नानी
कभी छलकें जैसे नम-नम पानी
कभी बन जाएँ भोले सवालों की झड़ी
सन्नाटे में हँसी के जैसे, सूने होंठों पे ख़ुशी के जैसे
ये तो नूर हैं, बरसें ‘गर तेरी क़िस्मत हो बड़ी

जैसे झील में लहराए चंदा
जैसे भीड़ में अपने का कंधा
जैसे मनमौजी नदिया झाग उड़ा के कुछ कहे
जैसे बैठे-बैठे मीठी सी झपकी
जैसे प्यार की धीमी सी थपकी
जैसे कानों में सरगम हर-दम बजती ही रहे
जैसे बरखा उड़ाती है बुंदिया…

खो ना जाएँ ये, खो ना जाएँ…
खो ना जाएँ ये…
खो ना जाएँ ये, खो ना जाएँ ये…
खो ना जाएँ ये…

Song Credits

Singer(s):
Shankar Mahadevan, Dominique & Vivieanne Pocha
Album:
Taare Zameen Par (Original Motion Picture Soundtrack)
Lyricist(s):
Prasoon Joshi
Composer(s):
Shankar-Ehsaan-Loy
Music:
Shankar-Ehsaan-Loy
Genre(s):
Music Label:
T-Series
Featuring:
Aamir Khan, Darsheel Safary & Tisca Chopra
Released On:
November 5, 2007

Official Video

You might also like

Get in Touch

12,038FansLike
13,982FollowersFollow
10,285FollowersFollow

Other Artists to Explore

Karol G

Jyotica Tangri

Laufey

Beyoncé

Dhvani Bhanushali