Aaya Woh Phir Nazar Aise Lyrics

Lyrics & meaning

Tune Jo Na Kaha

Mohit Chauhan

FromNew York (Original Motion Picture Soundtrack) ReleasedJune 10, 2009

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha
Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is sheher mein na apna thikana raha

Door chaahat se main apni chalta raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha

Dard pehle se hai zyada
Khud se phir ye kiya vaada
Khaamosh nazarein rahein bezubaan

Baaton mein pehle si baatein hain
Bolo to lab thartharate hain
Raaz ye dil ka na ho bayaan

Ho gaya ki asar koi hum pe nahin
Hum safar mein to hain, hamsafar hai nahin

Door jaata raha, paas aata raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha

Aaya vo phir nazar aise
Baath chhidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuaan

Haal tera na hum sa hai
Is khushi mein kyun gham sa hai?
Basne laga kyun phir vo jahaan?

Woh jahaan door jis se gaye the nikal
Phir se yaadon ne kar di hai jaise pehel

Lamha beeta hua dil dukhata raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha

Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khaamkhaah, be-wajah khwaab bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is sheher mein na apna thikana raha

Door chaahat se main apni chalta raha
Bujh gayi aag thi, daag jalta raha