Mausami Preet Nahi Wo Jo Beet Jaye Lyrics

Lyrics & meaning

Ratiyaan

Hansika Pareek

ReleasedJuly 23, 2024 GenreIndian

About this song

Mausami Preet Nahi Wo Jo Beet Jaye Lyrics

Ratiyaan is a captivating Hindi Indian masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Hansika Pareek. The lyrics of the song are penned by Soham Majumdar, while the production credits go to Sagnik Kolay. Ratiyaan was released on July 23, 2024. “Mausami Preet Nahi Wo Jo Beet Jaye Lyrics” has stayed with many, making it a song people naturally come back to again and again. Below, you’ll find the lyrics for Hansika Pareek’s “Ratiyaan”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Aisa kabhi hua hai kya taaron ke bin raat bani?
Chanda ke aane se toh raat mein woh baat bani
Maana ki ishq mera jaise koi hai sitaara
Tere hi aasmaan mein dhoondhe koi jo basera
Bhaaye na re use nindiya

Jaagi saari-saari ratiyaan
Taaron bhari kaari akhiyaan
Jaagi saari-saari ratiyaan
Taaron bhari kaari akhiyaan

Mausami yeh preet nahi, woh jo beet jaaye
Door hi sahi hum dono, par hain nahi paraaye
Mausami yeh preet nahi, woh jo beet jaaye
Door hi sahi hum dono, par hain nahi paraaye

Jaise sadiyon se hi milte nahi chaand-taare
Phir bhi aasmaan mein lagte dono kitne pyaare
Yeh toh jaane saari duniya

Jaagi saari-saari ratiyaan
Taaron bhari kaari akhiyaan
Jaagi saari-saari ratiyaan
Taaron bhari kaari akhiyaan

Ta-ra, na-na, na-na, na-na-na
Mmm-hm, hm-hm, hm-hm, hm-hm-hm
La-la, la-la, la-la, la-la-la
Ta-ra, na-na, na-na, na-na-na