Kothi Bangle Wali Lyrics

Lyrics & meaning

Kothi Bangle Wali

Mad Trip

FromMTV Hustle 4 Episode. 6 ReleasedNovember 3, 2024

About this song

Kothi Bangle Wali

Kothi Bangle Wali (कोठी बंगले वाली) एक खूबसूरत हिंदी गीत है, जिसे Mad Trip ने अपनी शानदार आवाज़ से गाया है। इस गीत के बोल Mad Trip ने लिखे हैं और संगीत Aditya Pushkarna ने तैयार किया है। Kothi Bangle Wali MTV Hustle 4, Episode. 6 एल्बम का हिस्सा है और यह November 3, 2024 को रिलीज़ हुआ था। Kothi Bangle Wali Lyrics कई लोगों के दिमाग में बस गई हैं, जिससे यह एक ऐसा गाना बन गया है जिसे लोग बार-बार सुनना पसंद करते हैं। नीचे Mad Trip के गाने “Kothi Bangle Wali” के बोल हिंदी में दिए गए हैं, जो इसके भाव और खूबसूरती को बेहतर तरीके से समझने में मदद करेंगे।

संपूर्ण गाना Amazon Music पर सुनें।

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Mad Trip

Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Par tu baatein karti bhaari, tu hai kothi-bangle waali
Mere gaane bajte hain sadkon par

Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Par tu baatein karti bhaari, tu hai kothi-bangle waali
Mere gaane bajte hain sadkon par

Sochun, “Chaand subah kahan se nikal gaya?”
Waise launda sakht, lekin yahan main pighal gaya
Follow kari scooty, peechhe-peechhe uske ghar gaya
Uss ka baap baahar dikha, main toh darr gaya

Phir liya left turn, pahuncha seedha ghar
Apne ghar nahi, saale uske hi ghar
Kyunki peechhe waala rasta pata laga liya tha yaar ne
Setting pehle se bitha li uske ghar ke guard se

Pheeki-pheeki zindagi mein le aayi woh tadka
Aur main uske aage-peechhe ghoomun, khelun Garba
Ladki chahiye saree waali, na ki party waali
Tu lagti patakha, mera har din Diwali

Kara use call, woh utha ke boli, “Kaun?”
Main kuchh bolun, uske pehle usne rakh diya phone
Bade baap ki beti, use nakhre dikhaane
Toh WhatsApp pe maine bhej diye mere gaane

Sunte hi gaane boli, “Oho!” (Oho-oho!)
Tu kar le collab, kab tak rahoon solo? (Solo, solo)
Tu ne dekhi hi kahan hai abhi power
Tere liye duniya main kar doon nyochhaavar
Zyada ude, use karoon seedha one-shot down
Jaise Pushpa, par tere aage flower

Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Pehen ke jab nikle saree, lagti hai sanskaari
Main aawaara ghoomta hoon sadkon par

Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Par tu baatein karti bhaari, tu hai kothi-bangle waali
Mere gaane bajte hain sadkon par

Angrezi mein pata nahi kya karti phus-phus
Main toh tareef hi maan ke ho leta khus-khus
Zoom-zoom kar ke Insta pe dekhun tasveerein
Dost bola, “Bas veere, bas-bas”

Ghumaaun Lahore leke udan khatola
Punjabi mein kahun toh lagdi Proper Patola
Ho woh picture ki heroine toh fail baaki kirdaar
Kaali bindi maathe par, neeche suit-salwar

Tere type ki hi wife chahiye
Kundli mile na mile, milni vibe chahiye
Moti party uske mote kharche all time
Main sadkon ka Rocky Bhai, woh hai Gold Mine

Raakhe dashboard pe cash, va chalave laambi car
But I do nothing, jaise khaayi maine 5Star
Ab main chullu bhar paani mein jaake doob jaaun kya?
Ya phir saatve maale se jaa ke kood jaaun kya?

Teri aankhon…
Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Par tu baatein karti bhaari, tu hai kothi-bangle waali
Mere gaane bajte hain sadkon par

Teri aankhon mein nasha hai, main hoon sober
Tujhe bitha ke rakhunga main palkon par
Par tu baatein karti bhaari, tu hai kothi-bangle waali
Mere gaane bajte hain sadkon par

Sadkon par
Mere gaane bajte hain sadkon par
Sadkon par
Mera naam Mad Trip, par main sober