Kahin door jab din dhal jaye
Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Kahin door jab din dhal jaye
Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Mere khayalon ke aangan mein
Koi sapnon ke deep jalaye, deep jalaye
Kahin door jab din dhal jaye
Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Kabhi yoon hi jab hui bojhal saansein
Bhar aayi baithe-baithe jab yoon hi aankhein
Kabhi yoon hi jab hui bojhal saansein
Bhar aayi baithe-baithe jab yoon hi aankhein
Tabhi machal ke, pyaar se chal ke
Chhuye koi mujhe, par nazar na aaye, nazar na aaye
Kahin door jab din dhal jaye
Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Kahin toh yeh dil kabhi mil nahi paate
Kahin pe nikal aayein janmon ke naate
Kahin toh yeh dil kabhi mil nahi paate
Kahin pe nikal aayein janmon ke naate
Hai meethi uljhan, bairi apna mann
Apna hi ho ke sahe dard paraye, dard paraye
Kahin door jab din dhal jaye
Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Dil jaane mere saare bhed yeh gehre
Kho gaye kaise mere sapne sunehre?
Dil jaane mere saare bhed yeh gehre
Kho gaye kaise mere sapne sunehre?
Yeh mere sapne, yahi toh hain apne
Mujhse juda na honge inke yeh saaye, inke yeh saaye