fitoor ost lyrics

Lyrics & meaning

Fitoor (Original Score)

Aima Baig

ReleasedJanuary 14, 2021 GenreSoundtrack

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Usey 100 dafa pukara hai dil ne
Magar mere dil ki baat woh sun na saka
Jo aankhon mein thi mere aansuon ki tarah
Bikhri woh khwahishein chun na saka

Akele chalte-chalte hon saaye jaise dhalte
Rahein kyun yeh faasle sada darmiyaan?

Ho, woh mila kyun tha agar usey bichhdana tha?
Muqaddar dil ka tha shayad, mujhe aaqhir bikhrna tha
Tamanna kyun thi jeene ki agar woh hi mera na tha?
Koi aisa dard de, nikal jaaye jaan, nikal jaaye jaan

हो, वो मिला क्यूँ था अगर उसे बिछड़ना था?
मुक़द्दर दिल का था शायद, मुझे आख़िर बिखरना था
तमन्ना क्यूँ थी जीने की अगर वो ही मेरा ना था?
कोई ऐसा दर्द दे, निकल जाए जाँ, निकल जाए जाँ

Tujhe chaahna, mohabbat se milna tujhe
Abhi mujhmein woh lagan baaqi toh hai
Ye beintha tere bin sulagna mera
Meri saanson mein agan baaqi toh hai

Tajalli ho jo teri toh raatein jaagein meri
Rahein mil ke pyaar ke zameen-aasmaan

Ho, woh mila kyun tha agar usey bichhdana tha?
Muqaddar dil ka tha shayad, mujhe aaqhir bikhrna tha
Tamanna kyun thi jeene ki agar woh hi mera na tha?
Koi aisa dard de, nikal jaaye jaan, nikal jaaye jaan

Jiyoon main zara, mujhe de tu dil mein jagah
Mile mujhko dhoop mein saaya tera
Tere bin nahi sukoon zindagi mein kahin
Bheegun zara, hai dil banjar mera

Andhere mere gehre, sitaaron se the pehre
Mere gham ki raat mein ho tu kehkasha