Maana dil dara-dara hai, toota yeh zara-zara hai
Dil ke is bawandar ko theher jaane do
Honth yeh zara sile hain, khamoshi ke silsile hain
Raat thodi gehri hai, seher aane do
Toh kya hua jo toota aaj sapna yeh tera?
Toh kya hua jo aaj koi apna na mila?
Kabhi toh poora hoga yeh chaahaton ka ghar
Kabhi toh mil hi jayega tujhko humsafar
Tujhmein na kami koi hai, bas tera yeh din bura hai
Waqt ki yeh baatein hain, isey guzar jaane do
Toh kya hua jo badla woh jo kehta tha yahi
“Badal bhi jaaye duniya, main rahunga bas wahi”?
Magar jahan zaroorat thi woh raha nahi
Saath ka toh chhodo, khayal tak nahi
Jaane do jo ja chuka hai, kaun kab-kahan ruka hai
Baatein yeh fizool hain, inhein bhool jaane do
Andhero mein hi rehne ke faisle kiye
Toh roshni mein aa ke yeh man kahan kage
Hai itni baar toota yaqeen apno se
Toh etbaar kis pe nazar yeh phir kare?
Tu muskurana chaahe toh darne lagta hai
Kahin nazar teri hi khushi ko na lage
Kisi pe aana chaahe toh kaise aaye dil?
Yeh phir se tootne ke khayal se dare
Dare, dare